be-kaifi
aaj kuchh aur rang taarī hai
har nafas zindagī pe bhārī hai
māh-o-anjum meñ raushnī na rahī
lāla-o-gul meñ tāzgī na rahī
yaanī duniyā meñ dilkashī na rahī
ham haiñ aur apnī ġham-gusārī hai
husn-o-ulfat kā vo fusūñ na rahā
dil hai dil ko magar junūñ na rahā
dil vahī dil ke vārdāt vahī
un kā ab bhī hai iltifāt vahī
mahl dīgar hai vāqi.āt vahī
lekin ab ruuh ko sukūñ na rahā
be-ruḳhī vajah-e-intiqām nahīñ
is shikāyat kā koī naam nahīñ
sargirānī hai aur dil maġhmūm
gum hai kaifiyyatoñ meñ har mafhūm
vajh-e-be-rabtī kuchh nahīñ ma.alūm
un se ab nāma-o-payām nahīñ
be-sabātī nahīñ uḌātī hai
aas bañdhtī hai TuuT jaatī hai
kyā tabī.at rahe javāñ āḳhir
har yaqīñ ban gayā gumāñ āḳhir
is fazā meñ sukūñ kahāñ āḳhir
lab pe ghabrā ke aah aatī hai
āḳhirī ye bhī ik gunāh kareñ
un se ham tark-e-rasm-o-rāh kareñ
dard hai zindagī mohabbat kī
intihā ye huī mohabbat kī
ibtidā ham ne kī mohabbat kī
vo bhalā kis liye nibāh kareñ
aaj kuchh aur rang tari hai
har nafas zindagi pe bhaari hai
mah-o-anjum mein raushni na rahi
lala-o-gul mein tazgi na rahi
yani duniya mein dilkashi na rahi
hum hain aur apni gham-gusari hai
husn-o-ulfat ka wo fusun na raha
dil hai dil ko magar junun na raha
dil wahi dil ke wardat wahi
un ka ab bhi hai iltifat wahi
mahl digar hai waqiat wahi
lekin ab ruh ko sukun na raha
be-ruKHi wajah-e-intiqam nahin
is shikayat ka koi nam nahin
sargirani hai aur dil maghmum
gum hai kaifiyyaton mein har mafhum
wajh-e-be-rabti kuchh nahin malum
un se ab nama-o-payam nahin
be-sabaati nahin uDati hai
aas bandhti hai TuT jati hai
kya tabiat rahe jawan aaKHir
har yaqin ban gaya guman aaKHir
is faza mein sukun kahan aaKHir
lab pe ghabra ke aah aati hai
aaKHiri ye bhi ek gunah karen
un se hum tark-e-rasm-o-rah karen
dard hai zindagi mohabbat ki
intiha ye hui mohabbat ki
ibtida hum ne ki mohabbat ki
wo bhala kis liye nibah karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.