be-karan raat ke sannaTe mein
tere bistar pe mirī jaan kabhī
be-karāñ raat ke sannāTe meñ
jazba-e-shauq se ho jaate haiñ a.azā mad.hosh
aur lazzat kī girāñ-bārī se
zehn ban jaatā hai daldal kisī vīrāne kī
aur kahīñ is ke qarīb
nīñd, āġhāz-e-zamistāñ ke parinde kī tarah
ḳhauf dil meñ kisī mauhūm shikārī kā liye
apne par taultī hai, chīḳhtī hai
be-karāñ raat ke sannāTe meñ!
tere bistar pe mirī jaan kabhī
ārzueñ tire siine ke kuhistānoñ meñ
zulm sahte hue habshī kī tarah reñgtī haiñ!
In the Dead Silence of a Shoreless Night
ek lamhe ke liye dil meñ ḳhayāl aatā hai
to mirī jaan nahīñ
balki sāhil ke kisī shahr kī doshīza hai
aur tire mulk ke dushman kā sipāhī huuñ meñ
ek muddat se jise aisī koī shab na milī
ki zarā ruuh ko apnī vo subuk-bār kare!
be-panāh aish ke haijān kā armāñ le kar
apne daste se ka.ī roz se mafrūr huuñ maiñ!
ye mire dil meñ ḳhayāl aatā hai
tere bistar pe mirī jaan kabhī
be-karāñ raat ke sannāTe meñ!
Sometimes on your bed, my love
In the dead silence of a shoreless night
Limbs go lifeless with passion
And beneath this burden of pleasure
The mind sinks
Into a quagmire of some wilderness
And somewhere nearby
Sleep, like a bird fearing
Predators at Winter's dawn
Prepares its wing, and screams
In the dead silence of a shoreless night
tere bistar pe meri jaan kabhi
be-karan raat ke sannaTe mein
jazba-e-shauq se ho jate hain aaza madhosh
aur lazzat ki giran-bari se
zehn ban jata hai daldal kisi virane ki
aur kahin is ke qarib
nind, aaghaz-e-zamistan ke parinde ki tarah
KHauf dil mein kisi mauhum shikari ka liye
apne par taulti hai, chiKHti hai
be-karan raat ke sannaTe mein!
tere bistar pe meri jaan kabhi
aarzuen tere sine ke kuhistanon mein
zulm sahte hue habshi ki tarah rengti hain!
In the Dead Silence of a Shoreless Night
ek lamhe ke liye dil mein KHayal aata hai
to meri jaan nahin
balki sahil ke kisi shahr ki doshiza hai
aur tere mulk ke dushman ka sipahi hun mein
ek muddat se jise aisi koi shab na mili
ki zara ruh ko apni wo subuk-bar kare!
be-panah aish ke haijaan ka arman le kar
apne daste se kai roz se mafrur hun main!
ye mere dil mein KHayal aata hai
tere bistar pe meri jaan kabhi
be-karan raat ke sannaTe mein!
Sometimes on your bed, my love
In the dead silence of a shoreless night
Limbs go lifeless with passion
And beneath this burden of pleasure
The mind sinks
Into a quagmire of some wilderness
And somewhere nearby
Sleep, like a bird fearing
Predators at Winter's dawn
Prepares its wing, and screams
In the dead silence of a shoreless night
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.