be-karan
tumheñ pasand hai har shab tumhāre bistar par
lipaT ke tum se hasīñ narm chāñdnī so.e
nigār-ḳhāna-e-fitrat kī dilkashī so.e
magar pasand ko rañg-e-junūñ na denā thā
gagan se chāñd ko dhartī pe kyuuñ bulātī ho
nazar se pyaar karo haath kyuuñ lagātī ho
musāfirān-e-shab-e-ġham kī dil-dahī ke liye
tamām umr use nuur ban ke Dhalnā hai
udaas rātoñ meñ qindīl ban ke jalnā hai
yahī bahut hai ki har shab tumhāre bistar par
lipaT ke tum se hasīñ narm chāñdnī so.e
gagan se chāñd na māñgo gagan pe rahne do
nazar se duur safīna bahe to bahne do
tumhein pasand hai har shab tumhaare bistar par
lipaT ke tum se hasin narm chandni soe
nigar-KHana-e-fitrat ki dilkashi soe
magar pasand ko rang-e-junun na dena tha
gagan se chand ko dharti pe kyun bulati ho
nazar se pyar karo hath kyun lagati ho
musafiran-e-shab-e-gham ki dil-dahi ke liye
tamam umr use nur ban ke Dhalna hai
udas raaton mein qindil ban ke jalna hai
yahi bahut hai ki har shab tumhaare bistar par
lipaT ke tum se hasin narm chandni soe
gagan se chand na mango gagan pe rahne do
nazar se dur safina bahe to bahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.