be-karan
sahar hote kiyā hai jab bhī āġhāz safar maiñ ne
to har ik moḌ par har raah par har ek bastī meñ
yahī pūchhā hai mujh se kaun huuñ kyā naam hai merā
mirī manzil kahāñ hai kaun sā shahr-e-tamannā hai
ki jis kī diid kā armāñ hai jis kā sar meñ saudā hai
savāloñ ko mire shauq-e-safar kī āgahī dene
nazar uThtī ḳhalā kī vus.atoñ meñ Duub kar kahtī
ufuq ke paar sūraj ke sunahrī baam se aage
zamīn-o-āsmāñ kī sarhadeñ jis jā pe miltī haiñ
mirā shahr-e-tamannā hai vahīñ tak mujh ko jaanā hai
ye duniyā mujh ko dīvāna samajh kar mujh pe hañstī hai
sahar hote kiya hai jab bhi aaghaz safar main ne
to har ek moD par har rah par har ek basti mein
yahi puchha hai mujh se kaun hun kya nam hai mera
meri manzil kahan hai kaun sa shahr-e-tamanna hai
ki jis ki did ka arman hai jis ka sar mein sauda hai
sawalon ko mere shauq-e-safar ki aagahi dene
nazar uThti KHala ki wusaton mein Dub kar kahti
ufuq ke par suraj ke sunahri baam se aage
zamin-o-asman ki sarhaden jis ja pe milti hain
mera shahr-e-tamanna hai wahin tak mujh ko jaana hai
ye duniya mujh ko diwana samajh kar mujh pe hansti hai
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 29)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.