be-KHabar
baaġh ke ek goshe meñ leTe hue
us būḌhe ko kyā ḳhabar
ki us kī banā.ī huī imārat
kitnī badal ga.ī hai
us kī dīvāreñ
kitnī ḳhud-sar ho ga.ī haiñ
us kī khiḌkiyāñ
kitnī be-parda ho ga.ī haiñ
us imārat meñ rakhī huī kursiyāñ
kitnī maġhrūr ho ga.ī haiñ
aur kursiyoñ ke qisse
gird-o-navāh meñ
mash.hūr ho ga.e haiñ
baaġh kī ek chhoTī sī qabr meñ leTe hue
us būḌhe ko kyā ma.alūm
ki us ke ghar meñ jang chhiḌī huī hai
mūñchheñ aur dāḌhiyāñ
bāhamī jang meñ masrūf haiñ
burqe aur sāḌiyāñ aapas meñ laḌ rahī haiñ
vo būḌhā
be-ḳhabar so rahā hai
lekin jang kā shor
use niiñd se jagā degā
use qabr se nikāl kar
bāhar pheñk degā
bagh ke ek goshe mein leTe hue
us buDhe ko kya KHabar
ki us ki banai hui imarat
kitni badal gai hai
us ki diwaren
kitni KHud-sar ho gai hain
us ki khiDkiyan
kitni be-parda ho gai hain
us imarat mein rakhi hui kursiyan
kitni maghrur ho gai hain
aur kursiyon ke qisse
gird-o-nawah mein
mashhur ho gae hain
bagh ki ek chhoTi si qabr mein leTe hue
us buDhe ko kya malum
ki us ke ghar mein jang chhiDi hui hai
munchhen aur daDhiyan
bahami jang mein masruf hain
burqe aur saDiyan aapas mein laD rahi hain
wo buDha
be-KHabar so raha hai
lekin jang ka shor
use nind se jaga dega
use qabr se nikal kar
bahar phenk dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.