be-KHabar
november kī zard-rū dhuup
khiḌkī ke rauzan se nikal kar
har sū phail ga.ī hai
vīrān ujaaḌ kamre meñ
ḳhushk moTī kitābeñ haiñ
nīm-shab kī jalī adh-jalī cigaretteñ
būḌhe shā.ir kā purānā chashma
jhurriyoñ bhare hāthoñ kī larzish meñ anokhe alfāz
rañg ḳhushbū falak-paimā.ī ke na.e andāz
kirm-ḳhurda mez ke aqab meñ būḌhā shā.ir
paar kar kī moTī nib se likhe jā rahā hai
rañg kī zabāñ meñ ḳhushbū ke afsāne
use ḳhabar bhī nahīñ
ki
november kī zard-rū dhuup
us kī mez par sarak aa.ī hai
aur
añgūr kī sard ḳhushk bel
khiḌkī kī darz se
use jhāñktī hai
nowember ki zard-ru dhup
khiDki ke rauzan se nikal kar
har su phail gai hai
viran ujaD kamre mein
KHushk moTi kitaben hain
nim-shab ki jali adh-jali cigaretten
buDhe shair ka purana chashma
jhurriyon bhare hathon ki larzish mein anokhe alfaz
rang KHushbu falak-paimai ke nae andaz
kirm-KHurda mez ke aqab mein buDha shair
par kar ki moTi nib se likhe ja raha hai
rang ki zaban mein KHushbu ke afsane
use KHabar bhi nahin
ki
nowember ki zard-ru dhup
us ki mez par sarak aai hai
aur
angur ki sard KHushk bel
khiDki ki darz se
use jhankti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.