be-KHabari
ḳhauf abhī juḌā na thā silsila-e-kalām se
harf abhī bujhe na the dahshat-e-kam-ḳhirām se
sañg-e-malāl ke liye dil āstāñ huā na thā
iqlīm-e-ḳhvāb meñ kahīñ koī ziyāñ huā na thā
nik.hat-e-abr-o-bād kī mastī meñ Dolte the ghar
saaf dikhā.ī dete the
us kī galī ke sab shajar
gard misāl-e-dastkeñ dar pe abhī jamī na thiiñ
rañg-e-firāq-o-vasl kī parteñ abhī khulī na thiiñ
aise meñ thī kise ḳhabar
jab sā.at-e-māhtāb ho
yuuñ bhī to hai ki aur hī naqsha-e-ḳhāk-o-āb ho
KHauf abhi juDa na tha silsila-e-kalam se
harf abhi bujhe na the dahshat-e-kam-KHiram se
sang-e-malal ke liye dil aastan hua na tha
iqlim-e-KHwab mein kahin koi ziyan hua na tha
nikhat-e-abr-o-baad ki masti mein Dolte the ghar
saf dikhai dete the
us ki gali ke sab shajar
gard misal-e-dastken dar pe abhi jami na thin
rang-e-firaq-o-wasl ki parten abhi khuli na thin
aise mein thi kise KHabar
jab saat-e-mahtab ho
yun bhi to hai ki aur hi naqsha-e-KHak-o-ab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.