Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-KHayali hi ab teri taswir hai

Hamid Akmal

be-KHayali hi ab teri taswir hai

Hamid Akmal

MORE BYHamid Akmal

    be-ḳhayālī banī hoñT dīvār par

    mez par terī tasvīr hañsne lagī

    rang rang nazroñ meñ uḌne lage

    jal-tarañg jaise kānoñ meñ bajne lage

    maiñ sulagtī huī rah-guzar pe

    achānak

    pīchhe muḌ ke rukā

    dhund āñkhoñ se dil meñ utarne lagī

    dhund tasvīr tasvīr dhund thī

    terī tasvīr dil meñ na hai mez par

    terī tasvīr ab zehn meñ dhund hai

    terī tasvīr

    taptī huī rah-guzar

    terī tasvīr

    aahoñ jaltā safar

    terī tasvīr

    bhaTke musāfir ke thakte qadam

    terī tasvīr tere tasavvur bojh

    terī tasvīr me’rāj-e-husn-e-nazar

    be-ḳhayālī ab terī tasvīr hai

    be-KHayali bani honT diwar par

    mez par teri taswir hansne lagi

    rang hi rang nazron mein uDne lage

    jal-tarang jaise kanon mein bajne lage

    main sulagti hui rah-guzar pe

    achanak

    pichhe muD ke ruka

    dhund aankhon se dil mein utarne lagi

    dhund taswir taswir hi dhund thi

    teri taswir dil mein na hai mez par

    teri taswir ab zehn mein dhund hai

    teri taswir

    tapti hui rah-guzar

    teri taswir

    aahon ka jalta safar

    teri taswir

    bhaTke musafir ke thakte qadam

    teri taswir tere tasawwur ka bojh

    teri taswir me’raj-e-husn-e-nazar

    be-KHayali hi ab teri taswir hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now