be-KHayali mein taKHliq
ḳhyālāt-o-ehsās
jo be-sāḳhta likh diye haiñ
na jaane vo kab se dil-o-jāñ ke andar chhupe the
kisī raaz jaise
qalam-band hone ko bechain the
ka.ī dard uljhe savālāt
jo safhe pe sajne ko betāb the
vo sab
qalam se mire motiyoñ kī tarah
ab barasne lage haiñ
sabhī raqs karne lage haiñ
mirī chashm-e-pur-nam
jo sailāb roke hue hai
sitāre chamakte haiñ merī palak par
unheñ maiñ raqam kar rahī huuñ
jo tūfān hai maujzan mere andar
vo armān vo ḳhvāb
ka.ī lā-shu.ūrī mazāmīn ban kar
varaq-dar-varaq jagmagāne lage haiñ
sabhī raqs karne lage haiñ
aur ab
usī jazb-o-ehsās ke zer-e-sāya
ġhazal phuul ban kar mahaktī hai
kabhī nazm gaatī hai vo giit
ki jo be-ḳhayālī meñ taḳhlīq ho kar
banātī hai rañgīn paikar
ye bazm-e-suḳhan ko sajāne pe maa.il
ḳhayālāt sab raqs karne lage haiñ
qalam se mire motiyoñ kī tarah
ab barasne lage haiñ
sabhī raqs karne lage haiñ
KHyalat-o-ehsas
jo be-saKHta likh diye hain
na jaane wo kab se dil-o-jaan ke andar chhupe the
kisi raaz jaise
qalam-band hone ko bechain the
kai dard uljhe sawalat
jo safhe pe sajne ko betab the
wo sab
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barasne lage hain
sabhi raqs karne lage hain
meri chashm-e-pur-nam
jo sailab roke hue hai
sitare chamakte hain meri palak par
unhen main raqam kar rahi hun
jo tufan hai maujzan mere andar
wo arman wo KHwab
kai la-shuuri mazamin ban kar
waraq-dar-waraq jagmagane lage hain
sabhi raqs karne lage hain
aur ab
usi jazb-o-ehsas ke zer-e-saya
ghazal phul ban kar mahakti hai
kabhi nazm gati hai wo git
ki jo be-KHayali mein taKHliq ho kar
banati hai rangin paikar
ye bazm-e-suKHan ko sajaane pe mail
KHayalat sab raqs karne lage hain
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barasne lage hain
sabhi raqs karne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.