be-KHayali
sub.h thī shaam Dhalne ko hai
din kā nām-o-nishāñ tak nahīñ
kuchh pata hī nahīñ hai ki kab sūraj apnī javānī gañvāte hue
bādaloñ ko jalāte hue
thak ke tārīkiyoñ ke tasallut ke aage tapish aur chamak maañd kar ke kisī dūsre mulk meñ jā chukā hai
ḳhabar hai ki
ab vo vahāñ par laḌakpan meñ hai
aur jaldī javāñ ho ke phir se buḌhāpe meñ jaane ko tayyār hai
sciencī tajziya-kār kahte haiñ
ye sab zamīñ kī vajah se huā hai
ye sākin nahīñ
ḳhair sākin to kuchh bhī nahīñ
kis qadar be-ḳhayāl aadmī huuñ maiñ kitnā burā huuñ
jise āj-kal din kī azmat kā ehsās bilkul nahīñ hai
hālat-e-hāl aisī hai ki
din kā sote hue biit jaanā
raat kā jāgte jāgte kāTnā
aur musalsal kisī be-kināra lahar kī tarah bahte bahte sukūñ DhūñDhnā
be-tarah zindagī ke sabhī qā.ede toḌnā
zehn ko yād-e-māzī kī kāñToñ-bharī saḳht dīvār par mārnā
aur phir yaad ke zaḳhm se ḳhuuñ kī dhāreñ nikalte hue dekhnā
kabhī be-ḳhayālī meñ hañsnā
kabhī dil ke andar banī qabr par baiTh kar ghanToñ ronā
kabhī aañkh se bahte aañsū chhupānā
kabhī apne haare hue shaḳhs ke baare meñ har kisī ko batānā
magar
jab kabhī un ḳharāboñ se fursat mile sochtā huuñ ki
ye zindagī hai
to kyā zindagī hai
maiñ kitnā akelā huuñ
ab koī bhī to nahīñ jo kahe ki use mujh se kuchh kahnā hai
yā use mujh se kuchh kaam hai
sub.h thī
shaam hai
subh thi sham Dhalne ko hai
din ka nam-o-nishan tak nahin
kuchh pata hi nahin hai ki kab suraj apni jawani ganwate hue
baadalon ko jalate hue
thak ke tarikiyon ke tasallut ke aage tapish aur chamak mand kar ke kisi dusre mulk mein ja chuka hai
KHabar hai ki
ab wo wahan par laDakpan mein hai
aur jaldi jawan ho ke phir se buDhape mein jaane ko tayyar hai
scienci tajziya-kar kahte hain
ye sab zamin ki wajah se hua hai
ye sakin nahin
KHair sakin to kuchh bhi nahin
kis qadar be-KHayal aadmi hun main kitna bura hun
jise aaj-kal din ki azmat ka ehsas bilkul nahin hai
haalat-e-haal aisi hai ki
din ka sote hue bit jaana
raat ka jagte jagte kaTna
aur musalsal kisi be-kinara lahar ki tarah bahte bahte sukun DhunDhna
be-tarah zindagi ke sabhi qaede toDna
zehn ko yaad-e-mazi ki kanTon-bhari saKHt diwar par marna
aur phir yaad ke zaKHm se KHun ki dhaaren nikalte hue dekhna
kabhi be-KHayali mein hansna
kabhi dil ke andar bani qabr par baiTh kar ghanTon rona
kabhi aankh se bahte aansu chhupana
kabhi apne haare hue shaKHs ke bare mein har kisi ko batana
magar
jab kabhi un KHarabon se fursat mile sochta hun ki
ye zindagi hai
to kya zindagi hai
main kitna akela hun
ab koi bhi to nahin jo kahe ki use mujh se kuchh kahna hai
ya use mujh se kuchh kaam hai
subh thi
sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.