be-KHwab masafat
ek do pal to zarā aur ruko
aisī jaldī bhī bhalā kyā hai chale jaanā tum
shaam mahkī hai abhī aur na palkoñ pe sitāre jaage
ham sar-e-rāh achānak hī sahī
muddatoñ ba.ad mile haiñ to na milne kī shikāyat kaisī
fursateñ kis ko mayassar haiñ yahāñ
aao do-chār qadam aur zarā saath chaleñ
shahr-e-afsurda ke māthe pe bujhī shaam kī raakh
zard pattoñ meñ simaTtī dekheñ
phir usī ḳhāk-ba-dāmāñ pal se
apne guzre hue kal kī ḳhush-bū
lamha-e-hāl meñ shāmil kar ke
apnī be-ḳhvāb masāfat kā izāla kar leñ
apne hone kā yaqīñ
aur na hone kā tamāshā kar leñ
aaj kī shaam sitārā kar leñ
ek do pal to zara aur ruko
aisi jaldi bhi bhala kya hai chale jaana tum
sham mahki hai abhi aur na palkon pe sitare jage
hum sar-e-rah achanak hi sahi
muddaton baad mile hain to na milne ki shikayat kaisi
fursaten kis ko mayassar hain yahan
aao do-chaar qadam aur zara sath chalen
shahr-e-afsurda ke mathe pe bujhi sham ki rakh
zard patton mein simaTti dekhen
phir usi KHak-ba-daman pal se
apne guzre hue kal ki KHush-bu
lamha-e-haal mein shamil kar ke
apni be-KHwab masafat ka izala kar len
apne hone ka yaqin
aur na hone ka tamasha kar len
aaj ki sham sitara kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.