be-KHwabi
tabībo
merī be-ḳhvābī kā chāra
kaise mumkin hai davāoñ se
tabībo
saarī saarī raat ehsās-e-nadāmat
mere qalb-o-rūh ko be-tāb rakhtā hai
ki maiñ ne aarzī rāhat ke badle meñ
kuchh aise ḳhvāb beche the
jo dobāra nahīñ milte
tabībo
kyā ye mumkin hai
davāoñ se pashemānī chalī jaa.e
agar aisā nahīñ mumkin
to phir mere maraz ko lā-davā samjho
tabibo
meri be-KHwabi ka chaara
kaise mumkin hai dawaon se
tabibo
sari sari raat ehsas-e-nadamat
mere qalb-o-ruh ko be-tab rakhta hai
ki main ne aarzi rahat ke badle mein
kuchh aise KHwab beche the
jo dobara nahin milte
tabibo
kya ye mumkin hai
dawaon se pashemani chali jae
agar aisa nahin mumkin
to phir mere maraz ko la-dawa samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.