be-mani rishte
jaise māhaul meñ insāñ kā guzar hotā hai
us ke kirdār meñ vaisā hī asar hotā hai
jin ko qaabū nahīñ hotā hai zabāñ par apnī
paar karte haiñ hadeñ vahm-o-gumān par apnī
sirf lafzoñ pe vafā kā jo bharam rakhte haiñ
amalī duniyā meñ vo kab apne qadam rakhte haiñ
haq ke iz.hār pe har-vaqt jo inkār kareñ
har kisī baat pe jo tanz-bhare vaar kareñ
ek ik saañs kā lenā bhī jo āzār kareñ
zinda rahne kī tamannā bhī jo dushvār kareñ
ghar kā sukh kyā hai ravādārī kise kahte haiñ
jānte jo nahīñ ḳhuddārī kise kahte haiñ
be-hisī aisī ke ḳhud kā bhī nahīñ karte yaqīñ
āsmānoñ kī lalak se hī khisaktī hai zamīñ
jaise mahaul mein insan ka guzar hota hai
us ke kirdar mein waisa hi asar hota hai
jin ko qabu nahin hota hai zaban par apni
par karte hain haden wahm-o-guman par apni
sirf lafzon pe wafa ka jo bharam rakhte hain
amali duniya mein wo kab apne qadam rakhte hain
haq ke izhaar pe har-waqt jo inkar karen
har kisi baat pe jo tanz-bhare war karen
ek ek sans ka lena bhi jo aazar karen
zinda rahne ki tamanna bhi jo dushwar karen
ghar ka sukh kya hai rawadari kise kahte hain
jaante jo nahin KHuddari kise kahte hain
be-hisi aisi ke KHud ka bhi nahin karte yaqin
aasmanon ki lalak se hi khisakti hai zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.