be-mani
saḌak par rail tezī se chalī hai
havā dekho to paanī se jalī hai
kahā murġhe ne ye gīdaḌ se ro kar
mirī murġhī abhī uThī hai so kar
nadī meñ tairtā ḳhargosh dekhā
to machhlī ne paroñ ko ḳhuub señkā
kabūtar se huī kachhve kī shādī
to bhālū ne TamāTar ko duā dī
machāyā shor kuchh sāñpoñ ne aisā
chalāyā bakroñ ne jo khoTā paisa
jalebī tairtī paanī pe aatī
maze le le ke vo bhinDī ne khaa.ī
gadhe cycle chalā.e jā rahe the
maze se duudh khānā khā rahe the
sar-e-rah piT ga.ī chyūñTī bichārī
gilahrī ban ga.ī ab to shikārī
thapak kar maiñ ne mīThe ko jagāyā
añdhere meñ namak ne gungunāyā
falak par uḌ rahā thā ek hāthī
miyāñ ghoḌe chale haiñ ban ke sāthī
azaañ bakrī ne dī naddī pe jā kar
miyāñ machchhar nikal aa.e nahā kar
milī chūhe ke bil se ek billī
shrī gā gā bane haiñ shaiḳh chillī
maze se ghaas bandar khā rahā hai
chabā kar paan kavvā aa rahā hai
girā paanī ke nal se ek anDā
to ḳharbūza uThā phir le ke DañDā
sadā ye ġhaib se ek baar aa.ī
zamīn-o-āsmāñ meñ hai laḌā.ī
saDak par rail tezi se chali hai
hawa dekho to pani se jali hai
kaha murghe ne ye gidaD se ro kar
meri murghi abhi uThi hai so kar
nadi mein tairta KHargosh dekha
to machhli ne paron ko KHub senka
kabutar se hui kachhwe ki shadi
to bhaalu ne TamaTar ko dua di
machaya shor kuchh sanpon ne aisa
chalaya bakron ne jo khoTa paisa
jalebi tairti pani pe aati
maze le le ke wo bhinDi ne khai
gadhe cycle chalae ja rahe the
maze se dudh khana kha rahe the
sar-e-rah piT gai chyunTi bichaari
gilahri ban gai ab to shikari
thapak kar main ne miThe ko jagaya
andhere mein namak ne gungunaya
falak par uD raha tha ek hathi
miyan ghoDe chale hain ban ke sathi
azan bakri ne di naddi pe ja kar
miyan machchhar nikal aae naha kar
mili chuhe ke bil se ek billi
shri ga ga bane hain shaiKH chilli
maze se ghas bandar kha raha hai
chaba kar pan kawwa aa raha hai
gira pani ke nal se ek anDa
to KHarbuza uTha phir le ke DanDa
sada ye ghaib se ek bar aai
zamin-o-asman mein hai laDai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.