Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-mausam footbaal

Muzaffar Hanfi

be-mausam footbaal

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    ham ne pahle rokā thā

    aur ammī ne bhī Tokā thā

    aiman is kīchaḌ paanī meñ

    mat khelo fōtbāl

    kaisā chhil gayā saarā gaal

    lekin tum ho ek naT-khaT

    pahne juute karte khaTpaT

    bhāge is fōtbāl ko le kar

    sab baat ko Taal

    kaisā chhil gayā saarā gaal

    ye Thahrā barsāt mausam

    āñgan meñ kīchaḌ hai kyā kam

    phislā paañv to saare kapḌe

    ho ga.e ḳhuun se laal

    kaisā chhil gayā saarā gaal

    is meñ hai apnī bhalā.ī

    kahnā baḌoñ maano bhaa.ī

    marham lagvā lo aur kar

    leTo oḌh ke shaal

    kaisā chhil gayā saarā gaal

    hum ne pahle hi roka tha

    aur ammi ne bhi Toka tha

    aiman is kichaD pani mein

    mat khelo footbaal

    kaisa chhil gaya sara gal

    lekin tum ho ek hi naT-khaT

    pahne jute karte khaTpaT

    bhage is footbaal ko le kar

    sab ki baat ko Tal

    kaisa chhil gaya sara gal

    ye Thahra barsat ka mausam

    aangan mein kichaD hai kya kam

    phisla panw to sare kapDe

    ho gae KHun se lal

    kaisa chhil gaya sara gal

    is mein hai apni hi bhalai

    kahna baDon ka mano bhai

    marham lagwa lo aur ja kar

    leTo oDh ke shaal

    kaisa chhil gaya sara gal

    Source :
    • Book : kamaan(sheri kulliyat (jild avval) (Pg. 388)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now