be-misl ke nam
vaqt kā tum par kyā asar
ki tumhārī āñkheñ
sāmrī kā kaTorā haiñ
jin meñ pesh aane vaale vāqi.āt ubal paḌeñ
zehn kī chādareñ tumhāre mood se badlī jaatī haiñ
niyyat kā mausam yak-dam monāl kī raat ban jaatā hai
sirf jab tumhārī baat kā bulb jale
be-libās na phiro ki ret kā rang tum se jalne lage
libās pahno ki chhatriyoñ kī qaus-e-quzah se dhuup muskurā uThe
bārish bane rahnā ki daraḳht tum se parde kī zahmat na kareñ
apne baal mat sañvārnā jañgaloñ meñ raat kāTnā kisī ko bahut pasand hai
waqt ka tum par kya asar
ki tumhaari aankhen
samri ka kaTora hain
jin mein pesh aane wale waqiat ubal paDen
zehn ki chadaren tumhaare mood se badli jati hain
niyyat ka mausam yak-dam monal ki raat ban jata hai
sirf jab tumhaari baat ka bulb jale
be-libas na phiro ki ret ka rang tum se jalne lage
libas pahno ki chhatriyon ki qaus-e-quzah se dhup muskura uThe
barish bane rahna ki daraKHt tum se parde ki zahmat na karen
apne baal mat sanwarna jangalon mein raat kaTna kisi ko bahut pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.