be-nam
Interesting Fact
(Paris, 14th January, 1987)
darīche baaz the
ThanDī havā kī narm dastak se
navā-e-nīm-shab
āñkheñ ThiThak kar khul ga.iiñ
mahtāb ke ḳhāmosh jaadū se
samundar bhī humaktā thā
mujhe vo naam kyā denā
jhalak ḳhud ism gar kī jis meñ aatī ho
mujhe kyuuñ qaid karte ho
maiñ muTThī meñ samā jā.ūñ
tilismī tāqateñ be-āsrā bandoñ ko dahlā.eñ
kahīñ dīvār par chaspāñ
garebānoñ kī zīnat meñ
balāoñ se hifāzat kar sakūñ
kyuuñ naam dete ho
hazāroñ qarna-hā qarnoñ se
yuuñ hī chāñd barsā hai
samundar aah bhartā hai
mo.attar phuul ke gajroñ meñ bas kar
fāsloñ ke lams kī duurī taḌaptī hai
mujhe mahsūs kar lo
āñkh-bhar kar dekh lo
phir niiñd kī tah meñ
thirakte barg āvāra kī sūrat
Dūbte jaao
mujhe be-nām rahne do
dariche baz the
ThanDi hawa ki narm dastak se
nawa-e-nim-shab
aankhen ThiThak kar khul gain
mahtab ke KHamosh jadu se
samundar bhi humakta tha
mujhe wo nam kya dena
jhalak KHud ism gar ki jis mein aati ho
mujhe kyun qaid karte ho
main muTThi mein sama jaun
tilismi taqaten be-asra bandon ko dahlaen
kahin diwar par chaspan
garebanon ki zinat mein
balaon se hifazat kar sakun
kyun nam dete ho
hazaron qarna-ha qarnon se
yun hi chand barsa hai
samundar aah bharta hai
moattar phul ke gajron mein bas kar
faslon ke lams ki duri taDapti hai
mujhe mahsus kar lo
aankh-bhar kar dekh lo
phir nind ki tah mein
thirakte barg aawara ki surat
Dubte jao
mujhe be-nam rahne do
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 115)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.