mire ḳhayāl tirī rahbarī javān rahe
tire tufail mire dil ko kuchh sukūñ to milā
maiñ kyā huuñ is kī ḳhabar kuchh mujhe hai aur na tujhe
magar kahāñ huuñ tujhe is kā ilm ho shāyad
mujhe bas itnā batā de hai kaun sā ye dayār
mirī nigāh kī rag rag meñ hai pareshānī
tasavvurāt ke ḳhāmosh se dhuñdalkoñ meñ
nuqūsh bante haiñ miTte haiñ aur maiñ hairāñ huuñ
dil-e-hazīñ pe kisī aah kā nuzūl nahīñ
ki mere lab to fuġhāñ kī adā bhī bhuul ga.e
kahāñ ga.e vo javāñ ārzūoñ ke maqtal
mirī nigāh ke āvāra qāsido āḳhir
kahāñ ga.e vo mirī hasratoñ ke suune mazār
kahāñ ke ashk kahāñ kā alam kahāñ kī fuġhāñ
yahāñ ajiib sī taskīn dil ko miltī hai
sukūt hai ki har ik rag ko de rahā hai sukūñ
agar fusūñ hai to kitnā hasīn hai ye fusūñ
ye ḳhvāb hai to ye merā nasīb ho jaa.e
tamām umr agar us kī aarzū bhī kare
mujhe yaqīñ hai koī phir bhī kāmyāb na ho
mire ḳhayāl yahāñ aa gayā huuñ maiñ kaise
mujhe bas itnā batā de hai kaun sā ye dayār
mere KHayal teri rahbari jawan rahe
tere tufail mere dil ko kuchh sukun to mila
main kya hun is ki KHabar kuchh mujhe hai aur na tujhe
magar kahan hun tujhe is ka ilm ho shayad
mujhe bas itna bata de hai kaun sa ye dayar
meri nigah ki rag rag mein hai pareshani
tasawwuraat ke KHamosh se dhundalkon mein
nuqush bante hain miTte hain aur main hairan hun
dil-e-hazin pe kisi aah ka nuzul nahin
ki mere lab to fughan ki ada bhi bhul gae
kahan gae wo jawan aarzuon ke maqtal
meri nigah ke aawara qasido aaKHir
kahan gae wo meri hasraton ke sune mazar
kahan ke ashk kahan ka alam kahan ki fughan
yahan ajib si taskin dil ko milti hai
sukut hai ki har ek rag ko de raha hai sukun
agar fusun hai to kitna hasin hai ye fusun
ye KHwab hai to ye mera nasib ho jae
tamam umr agar us ki aarzu bhi kare
mujhe yaqin hai koi phir bhi kaamyab na ho
mere KHayal yahan aa gaya hun main kaise
mujhe bas itna bata de hai kaun sa ye dayar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.