be-nam nazmen
aḳhbār ke bikhre hue pannoñ meñ
yā shāyad
whatsapp ke kisī group meñ kahīñ
us ne paḌhī thiiñ
kuchh dard meñ Duubī ġham-e-hijrāñ se mo.attar
mānūs se alfāz meñ pahchānī sī satreñ
be-nām sī nazmeñ
jin meñ kahīñ shā.ir kā koī naam nahīñ thā
mumkin hai ki in nazmoñ se
kuchh uns shanāsā.ī yā shāyad koī rishta
use mahsūs huā ho
shāyad use yaad aaya ho ik rabt purānā
un bikhrī huī nazmoñ sā
mumkin hai ki
vo rabt bhī us ke liye be-nām rahā ho
jo bhī ho
magar us ne vo nazmeñ mujhe bhejīñ
alfāz kifāyat se barat.te hue pūchhā
lahja to tumhārā hai ye tum ne hī likhī haiñ
maiñ der se bas soch rahā huuñ use pūchhūñ
vāqif ho mire ġham se mirī aahoñ se ab bhī
ehsās abhī tak hai mire dard kā tum ko
alfāz baratne kā salīqa nahīñ bhūlī
taaza hai abhī zehn meñ nazmoñ kā bhī lahja
tum itnā samajhtī ho mujhe phir ye batāo
ham paas rahe itne to ab fāsla kyoñ hai
aKHbar ke bikhre hue pannon mein
ya shayad
whatsapp ke kisi group mein kahin
us ne paDhi thin
kuchh dard mein Dubi gham-e-hijran se moattar
manus se alfaz mein pahchani si satren
be-nam si nazmen
jin mein kahin shair ka koi nam nahin tha
mumkin hai ki in nazmon se
kuchh uns shanasai ya shayad koi rishta
use mahsus hua ho
shayad use yaad aaya ho ek rabt purana
un bikhri hui nazmon sa
mumkin hai ki
wo rabt bhi us ke liye be-nam raha ho
jo bhi ho
magar us ne wo nazmen mujhe bhejin
alfaz kifayat se baratte hue puchha
lahja to tumhaara hai ye tum ne hi likhi hain
main der se bas soch raha hun use puchhun
waqif ho mere gham se meri aahon se ab bhi
ehsas abhi tak hai mere dard ka tum ko
alfaz baratne ka saliqa nahin bhuli
taza hai abhi zehn mein nazmon ka bhi lahja
tum itna samajhti ho mujhe phir ye batao
hum pas rahe itne to ab fasla kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.