be-nang-o-nam
raat Dhalte hī ik āvāz chalī aatī hai
bhuul bhī jaao ki maiñ ne tumheñ chāhā kab thā
kis sanobar ke tale maiñ ne qasam khaa.ī thī
koī tūfāñ kisī pūnam meñ uThāyā kab thā
merī rātoñ ko kisī dard se nisbat kyā thī
merī sub.hoñ ko duāoñ se ilāqa kab thā
ek mahmil ke sirhāne koī royā thā zarūr
pas-e-mahfil kisī lailā ne pukārā kab thā
tum yūñhī zid meñ hue ḳhāk-e-dar-e-mai-ḳhāna
mujh ko ye zom ki maiñ ne tumheñ Tokā kab thā
tum ne kyuuñ pāka.i-e-dāmāñ kī hikāyat likkhī
mere sar ko kisī dīvār kā saudā kab thā
yaad kam kam hai na chheḌo mire maktūb kī baat
vo muravvat thī faqat harf-e-tamannā kab thā
dil na is tarah dukhā saaf mukarne vaale
mujh ko taslīm ki terī koī taqsīr na thī
ye bajā hai ki tujhe zauq-e-nasheman na milā
ye ġhalat hai ki mujhe hasrat-e-tāmīr na thī
sañg-bārī meñ ye shīshe kā makāñ kis kā hai
is dar-o-bām meñ ḳhushbu-e-vafā kaisī hai
kis kī āvāz se dīvāroñ ke siine meñ figār
mere mābūd mire ghar kī fazā kaisī hai
chhāñv dete nahīñ āñgan ke ghanere ashjār
ġham kī chhā.ī huī ghanghor ghaTā kaisī hai
ek koñpal pe thā añgusht-e-hinā.ī kā nishāñ
ye lahū rotī huī shāḳh-e-hinā kaisī hai
kis kī tasvīr hai ye jis pe gumāñ hotā hai
jaane kab bol uThe uf ye adā kaisī hai
kis ne takiya pe ye kāḌhā hai gire kā misrā
haa.e TuuTī huī nīndoñ kī sazā kaisī hai
soch meñ gum huuñ ki kis kis kī zabāñ band karūñ
aaj shāyad dar o dīvār ko Dhānā hogā
jis meñ tū hai tire vaade haiñ tirī qasmeñ haiñ
kyā sitam hai ki usī ghar ko jalānā hogā
raat Dhalte hi ek aawaz chali aati hai
bhul bhi jao ki main ne tumhein chaha kab tha
kis sanobar ke tale main ne qasam khai thi
koi tufan kisi punam mein uThaya kab tha
meri raaton ko kisi dard se nisbat kya thi
meri subhon ko duaon se ilaqa kab tha
ek mahmil ke sirhane koi roya tha zarur
pas-e-mahfil kisi laila ne pukara kab tha
tum yunhi zid mein hue KHak-e-dar-e-mai-KHana
mujh ko ye zom ki main ne tumhein Toka kab tha
tum ne kyun pakai-e-daman ki hikayat likkhi
mere sar ko kisi diwar ka sauda kab tha
yaad kam kam hai na chheDo mere maktub ki baat
wo murawwat thi faqat harf-e-tamanna kab tha
dil na is tarah dukha saf mukarne wale
mujh ko taslim ki teri koi taqsir na thi
ye baja hai ki tujhe zauq-e-nasheman na mila
ye ghalat hai ki mujhe hasrat-e-tamir na thi
sang-bari mein ye shishe ka makan kis ka hai
is dar-o-baam mein KHushbu-e-wafa kaisi hai
kis ki aawaz se diwaron ke sine mein figar
mere mabud mere ghar ki faza kaisi hai
chhanw dete nahin aangan ke ghanere ashjar
gham ki chhai hui ghanghor ghaTa kaisi hai
ek konpal pe tha angusht-e-hinai ka nishan
ye lahu roti hui shaKH-e-hina kaisi hai
kis ki taswir hai ye jis pe guman hota hai
jaane kab bol uThe uf ye ada kaisi hai
kis ne takiya pe ye kaDha hai gire ka misra
hae TuTi hui nindon ki saza kaisi hai
soch mein gum hun ki kis kis ki zaban band karun
aaj shayad dar o diwar ko Dhana hoga
jis mein tu hai tere wade hain teri qasmen hain
kya sitam hai ki usi ghar ko jalana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.