be-nishan
hameñ qayāmat kī nishāniyoñ meñ ye nahīñ batāyā gayā
ki vo mard nāpaid ho jā.eñge
jinheñ ḳhudā ne ek darje uupar rakhā
zarā un maaoñ ke duudh ko jāñcho
is ko pī ke parvān chaḌhne vaalā bachcha
be-kirdār ho jaatā hai
kisī hijḌe yā zanḳhe pe la.an-ta.an mat karo
vo apne sivā kisī kā mazāq nahīñ uḌātā
aur ab aane vaalī sadiyoñ meñ
jo nasleñ paidā hoñgī
vo kisī zanḳhe yā hijḌe se ziyāda qābil-e-rahm hoñgī
so hameñ mat dikhāo ye hasab-nasab
ham ne ye saare ġhurūr nadī nāloñ meñ bahte hue dekhe haiñ
hameñ qayāmat kī nishāniyoñ meñ ye nahīñ batāyā gayā
ki ek vaqt aisā aa.egā
jab kisī kī koī shanāḳht nahīñ hogī
hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya
ki wo mard napaid ho jaenge
jinhen KHuda ne ek darje upar rakha
zara un maon ke dudh ko jaancho
is ko pi ke parwan chaDhne wala bachcha
be-kirdar ho jata hai
kisi hijDe ya zanKHe pe lan-tan mat karo
wo apne siwa kisi ka mazaq nahin uData
aur ab aane wali sadiyon mein
jo naslen paida hongi
wo kisi zanKHe ya hijDe se ziyaada qabil-e-rahm hongi
so hamein mat dikhao ye hasab-nasab
hum ne ye sare ghurur nadi nalon mein bahte hue dekhe hain
hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya
ki ek waqt aisa aaega
jab kisi ki koi shanaKHt nahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.