be-nishan
baat yuuñ ḳhatm huī
dard yuuñ gayā jaise ki sāhil hī na thā
saare altāf-o-karam bhuul ga.e
jaur-farāmosh hue
raat yuuñ biit ga.ī jaise ki niklā hī na thā
matla-e-shauq pe vo māh-e-tamām
ashk yuuñ suukh ga.e jaise ki dāman merā
us kā āñchal thā
vo paimāna-e-nāz
jaane gardish meñ hai ki TuuT gayā
maiñ zamāne ke kināre yuuñ khaḌā huuñ tanhā
jaise ek jast lagā hī dūñgā
aur kal bād-e-sahar
yuuñ miTā degī har ik naqsh-e-qadam
jaise is raah se pahle koī guzrā hī na thā
baat yun KHatm hui
dard yun gaya jaise ki sahil hi na tha
sare altaf-o-karam bhul gae
jaur-faramosh hue
raat yun bit gai jaise ki nikla hi na tha
matla-e-shauq pe wo mah-e-tamam
ashk yun sukh gae jaise ki daman mera
us ka aanchal tha
wo paimana-e-naz
jaane gardish mein hai ki TuT gaya
main zamane ke kinare yun khaDa hun tanha
jaise ek jast laga hi dunga
aur kal baad-e-sahar
yun miTa degi har ek naqsh-e-qadam
jaise is rah se pahle koi guzra hi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.