be-niyazi
ḳhayāl-o-fikr-e-ḳhūbāñ se nahīñ ab mujh ko dilchaspī
ki un se zehn-o-dil ke saare naate toḌ aaya huuñ
jamāl-e-zāhirī kī manziloñ kā zikr hī kyā hai
manāzil husn-e-bātin kī bhī pīchhe chhoḌ aaya huuñ
kisī bad-sūratī se ab nahīñ nafrat nigāhoñ ko
koī bhī aib ab kulfat nahīñ ehsās ko detā
mahāsin aur ma.ā.ib donoñ be-ma.anī se lagte haiñ
asar un se maiñ ab achchhā burā kuchh bhī nahīñ letā
KHayal-o-fikr-e-KHuban se nahin ab mujh ko dilchaspi
ki un se zehn-o-dil ke sare nate toD aaya hun
jamal-e-zahiri ki manzilon ka zikr hi kya hai
manazil husn-e-baatin ki bhi pichhe chhoD aaya hun
kisi bad-surati se ab nahin nafrat nigahon ko
koi bhi aib ab kulfat nahin ehsas ko deta
mahasin aur maaib donon be-mani se lagte hain
asar un se main ab achchha bura kuchh bhi nahin leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.