be-parwah umr
dekho tum gintī numberoñ ke hisāb
kitāb meñ mat jaao
sab dikhāvā chhalāvā sā hai
maiñ to abhī bhī vahī sTāpū khelne kī baarī
ke intizār meñ huuñ
ghar par pair paTaktī nannhī bachchī sī
moTe moTe aañsū liye kone meñ baiThī sī huuñ
bārishoñ meñ chhap chhap kar miTTī meñ sane paañv
se be-parvāh havā sī huuñ
kohre se bhare shīshe par kuchh ulTā kuchh
sīdhā kuchh sachchā jhūTā likhtī miTātī
sī huuñ
ḳhayāl meñ
apne is kesarī printed phūloñ se bhare firāq meñ
titlī ke pīchhe dauḌ lagātī
bāvlī sī ho
tum baar baar janm-din par call kar
umr kā havāla na do
mere liye to dil abhī bhī ruuh kī baa.eñ taraf hai
jo bīsvīñ saal meñ thā shāyad
dekho tum ginti numberon ke hisab
kitab mein mat jao
sab dikhawa chhalawa sa hai
main to abhi bhi wahi sTapu khelne ki bari
ke intizar mein hun
ghar par pair paTakti nannhi bachchi si
moTe moTe aansu liye kone mein baiThi si hun
barishon mein chhap chhap kar miTTi mein sane panw
se be-parwah hawa si hun
kohre se bhare shishe par kuchh ulTa kuchh
sidha kuchh sachcha jhuTa likhti miTati
si hun
KHayal mein
apne is kesari printed phulon se bhare firaq mein
titli ke pichhe dauD lagati
bawli si ho
tum bar bar janm-din par call kar
umr ka hawala na do
mere liye to dil abhi bhi ruh ki baen taraf hai
jo biswin sal mein tha shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.