be-qarari
rafta rafta ashk āñkhoñ se ravāñ hone lage
dil lagā kar duur mujh se jaan jaañ hone lage
aañkh un se jab milī to mil gayā dil ko qarār
chāñd-tāroñ meñ kiyā kartā thā maiñ un kā shumār
dil kī dhaḌkan merī uljhan be-zabāñ hone lage
rafta rafta ashk āñkhoñ se ravāñ hone lage
vo sunahrā harf thā uljhī huī tahrīr kā
maiñ musavvir thā kisī bikhrī huī tasvīr kā
dhīre dhīre pyaar meñ donoñ javāñ hone lage
rafta rafta ashk āñkhoñ se ravāñ hone lage
barf kā mausam thā phir bhī aag meñ jalte the ham
raah meñ kāñTe the phir bhī shauq se chalte the ham
aaj ham ik bhūlī-bisrī dāstāñ hone lage
rafta rafta ashk āñkhoñ se ravāñ hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage
dil laga kar dur mujh se jaan jaan hone lage
aankh un se jab mili to mil gaya dil ko qarar
chand-taron mein kiya karta tha main un ka shumar
dil ki dhaDkan meri uljhan be-zaban hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage
wo sunahra harf tha uljhi hui tahrir ka
main musawwir tha kisi bikhri hui taswir ka
dhire dhire pyar mein donon jawan hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage
barf ka mausam tha phir bhi aag mein jalte the hum
rah mein kanTe the phir bhi shauq se chalte the hum
aaj hum ek bhuli-bisri dastan hone lage
rafta rafta ashk aankhon se rawan hone lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.