be-rabt
aañkh bojhal huī
zard patte havā meñ bikharne lage
maiñ tirī samt aage baḌhā aur phir
yuuñ lagā jaise yak-dam añdherā sā chhāne lagā chaar sū
dekhte dekhte ghup añdherā huā
maiñ tujhe dekhtā rah gayā
terī tasvīr jab dekhte dekhte
ghup añdhere meñ khone lagī to binā vaqt zaa.e.a kiye
ehtiyātan tujhe maiñ bhī apne tasavvur kī qirtās par
ik purāne brush jo ki ḳhud bhī tasavvur kī me.arāj thā ko ajab be-qarārī meñ
ujlat zada haath meñ le ke māhir musavvir kī mānind malne lagā
phir kuchh aisā huā
sab badalne lagā
dekhte dekhte ghup añdherā chhaTā
aur har sū ujālā huā
phir tirī samt nazreñ uThīñ
ek lamha to ma.akūs qirtās par tere chehre pe Thahrī rahīñ aur phir
terī peshānī ke Thiik uupar tirī maañg sīdhī saḌak ke mushābah tire gesuoñ se guzartī dikhī
aur phir ek muflis ġharīb-ul-vatan kī tarah
raushnī se muzayyan saḌak par ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ chalā
aur phir yuuñ huā ki musāfir ghane gesuoñ meñ kahīñ kho gayā
aankh bojhal hui
zard patte hawa mein bikharne lage
main teri samt aage baDha aur phir
yun laga jaise yak-dam andhera sa chhane laga chaar su
dekhte dekhte ghup andhera hua
main tujhe dekhta rah gaya
teri taswir jab dekhte dekhte
ghup andhere mein khone lagi to bina waqt zaea kiye
ehtiyatan tujhe main bhi apne tasawwur ki qirtas par
ek purane brush jo ki KHud bhi tasawwur ki mearaj tha ko ajab be-qarari mein
ujlat zada hath mein le ke mahir musawwir ki manind malne laga
phir kuchh aisa hua
sab badalne laga
dekhte dekhte ghup andhera chhaTa
aur har su ujala hua
phir teri samt nazren uThin
ek lamha to makus qirtas par tere chehre pe Thahri rahin aur phir
teri peshani ke Thik upar teri mang sidhi saDak ke mushabah tere gesuon se guzarti dikhi
aur phir ek muflis gharib-ul-watan ki tarah
raushni se muzayyan saDak par KHiraman KHiraman chala
aur phir yun hua ki musafir ghane gesuon mein kahin kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.