be-rahm shaeron ke jurm
tumheñ puurā haq hai
nārāz hone kā
ham be-rahm shā.eroñ se
ham ne tumheñ ik tamāshā banā diyā
tumhāre dil meñ dafn
gahre-tarīn rāzoñ tak
hamārī nazar pahuñch ga.ī
aur ham ne tumheñ sharminda kar diyā
duniyā ke sāmne
tumhāre rāzoñ par nazmeñ likh kar
tum hamāre jurm par
hameñ hathkaḌī na lagvā sake
hameñ adālat na le jā sake
na phāñsī par chaḌvā sake
tum hamāre ḳhuun se
apne haath rañgne ke liye bhī
ḳhud ko āmāda na kar sake
go ye kuchh aisā mushkil bhī na thā
lekin hameñ andāza hai
tum ham se badla lene kī tāqat rakhte ho
aur irāda bhī
is be-rahm duniyā ko chhoḌ dene ke bāvajūd!
tumhein pura haq hai
naraaz hone ka
hum be-rahm shaeron se
hum ne tumhein ek tamasha bana diya
tumhaare dil mein dafn
gahre-tarin raazon tak
hamari nazar pahunch gai
aur hum ne tumhein sharminda kar diya
duniya ke samne
tumhaare raazon par nazmen likh kar
tum hamare jurm par
hamein hathkaDi na lagwa sake
hamein adalat na le ja sake
na phansi par chaDwa sake
tum hamare KHun se
apne hath rangne ke liye bhi
KHud ko aamada na kar sake
go ye kuchh aisa mushkil bhi na tha
lekin hamein andaza hai
tum hum se badla lene ki taqat rakhte ho
aur irada bhi
is be-rahm duniya ko chhoD dene ke bawajud!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 545)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.