be-sabab
aaj ye jī meñ mere aayā hai
kuchh zarā haT ke kahūñ
jis meñ junūñ ho shāmil
āsmānoñ kī taraf yuuñ hī takūñ
be-sabab hañs duuñ bigaḌ bhī jā.ūñ
sab kī nazroñ meñ zarūrī jo hai
be-niyāzī se use dekh kar aage baḌh jā.ūñ
ġhair logoñ se milūñ aur dikhā.ūñ maiñ tapāk
āshnā log mileñ to zarā katrā jā.ūñ
log kahne lageñ kyā haal huā hai is kā
koī sadma hai junūñ hai ki dikhāvā hai faqat
ab talak lagtā thā ye shaḳhs baḌā suljhā sā
aise māhaul meñ kuchh kahnā baḌā mushkil hai
ghar kī chintā hai ise yā hai zamāne kī fikr
kuchh na kuchh baat hai varna ye taġhayyur kaisā
koī bhī baat bilā-vaj.h nahīñ ho saktī
sab lagāte raheñ kuchh apne tarīqe se qayās
apne maḳhsūs tajrabe se huā ho jo gumāñ
aur ye dekh ke maiñ ḳhuub hañsūñ aur sochūñ
be-sabab bhī ka.ī hote haiñ amal
har kisī baat kā matlab to nahīñ hotā hai
aaj ye ji mein mere aaya hai
kuchh zara haT ke kahun
jis mein junun ho shamil
aasmanon ki taraf yun hi takun
be-sabab hans dun bigaD bhi jaun
sab ki nazron mein zaruri jo hai
be-niyazi se use dekh kar aage baDh jaun
ghair logon se milun aur dikhaun main tapak
aashna log milen to zara katra jaun
log kahne lagen kya haal hua hai is ka
koi sadma hai junun hai ki dikhawa hai faqat
ab talak lagta tha ye shaKHs baDa suljha sa
aise mahaul mein kuchh kahna baDa mushkil hai
ghar ki chinta hai ise ya hai zamane ki fikr
kuchh na kuchh baat hai warna ye taghayyur kaisa
koi bhi baat bila-wajh nahin ho sakti
sab lagate rahen kuchh apne tariqe se qayas
apne maKHsus tajrabe se hua ho jo guman
aur ye dekh ke main KHub hansun aur sochun
be-sabab bhi kai hote hain amal
har kisi baat ka matlab to nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.