be-samt rah
pūnam kī shab kā aks
sadmoñ-zada ‘adsa se bahtā huā
injīr ke iḳhtilājī zaḳhmī pattoñ par jam gayā hai
shabīh chhedoñ se ārāsta
nazroñ se lipaT kar gum hone se bach
to ga.ī hai
ab nazreñ phailā.ūñ to
vo
manfī hajm meñ baT jā.egī
us vaqt nauhagar tinkā fāḳhta ke lahū
meñ tar
andhe jāloñ meñ soyā hogā
nahīñ
nahīñ maiñ nahīñ chāhtā
maiñ ne junūñ-zada samtoñ se pyaar
kiyā hai
jin meñ
tirī sūrat se ziyāda
chāñdnī-bharī āñkhoñ kā fusūñ hai
punam ki shab ka aks
sadmon-zada ‘adsa se bahta hua
injir ke iKHtilaji zaKHmi patton par jam gaya hai
shabih chhedon se aarasta
nazron se lipaT kar gum hone se bach
to gai hai
ab nazren phailaun to
wo
manfi hajm mein baT jaegi
us waqt nauhagar tinka faKHta ke lahu
mein tar
andhe jalon mein soya hoga
nahin
nahin main nahin chahta
main ne junun-zada samton se pyar
kiya hai
jin mein
teri surat se ziyaada
chandni-bhari aankhon ka fusun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.