be-talab
maiñ ḳhvāhishoñ se apnā haath nahīñ khīñch saktī
jab tak ḳhvāhisheñ mujh se na khīñch jaa.eñ
ye kaafī hai aur mere liye sab
merī gardan par mere mahbūb kā chehra sajā do
yā merī ruuh ko āzād ho jaane do
ye bhī kaafī hai aur mere liye bahut hai
maiñ us kī ḳhvāhish se kuchh kam huuñ yā zarā ziyāda
zāhir hai gard mujhe chhupā letī hai
merī ruuh mere hoñToñ par hai
uḌne ke liye be-tāb
kyā us ke hoñT mujhe amn kā sabaq deñge?
aur ye bhī mere liye bahut hai
main KHwahishon se apna hath nahin khinch sakti
jab tak KHwahishen mujh se na khinch jaen
ye kafi hai aur mere liye sab
meri gardan par mere mahbub ka chehra saja do
ya meri ruh ko aazad ho jaane do
ye bhi kafi hai aur mere liye bahut hai
main us ki KHwahish se kuchh kam hun ya zara ziyaada
zahir hai gard mujhe chhupa leti hai
meri ruh mere honTon par hai
uDne ke liye be-tab
kya us ke honT mujhe amn ka sabaq denge?
aur ye bhi mere liye bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.