be-yaqini ka sahra
ai ḳhudā
terā lāchār banda
tishna-lab be-sahārā
be-yaqīnī ke sahrā meñ tanhā khaḌā hai
kitāboñ se lahjoñ se lafzoñ se merā yaqīñ uTh chukā hai
har taraf shor hai khokhle alfāz-o-iz.hār kā
sirf parchār kā
sab aqīde nazariye
mahz ishtihārāt haiñ
Dhol piiTe chale jā rahe haiñ
is qadar shor hai ki samā.at bhī pathrā ga.ī hai
is qadar raushnī ke basārat bhī dhuñdlā ga.ī
ai ḳhudā
raushnī ke añdhere meñ ik nuur de
nuur aisā ki jis se munavvar ho dil
abr-e-rahmat yaqīñ kā
be-yaqīnī ke sahrā pe sāya-fagan ho
ai KHuda
tera lachaar banda
tishna-lab be-sahaara
be-yaqini ke sahra mein tanha khaDa hai
kitabon se lahjon se lafzon se mera yaqin uTh chuka hai
har taraf shor hai khokhle alfaz-o-izhaar ka
sirf parchaar ka
sab aqide nazariye
mahz ishtihaaraat hain
Dhol piTe chale ja rahe hain
is qadar shor hai ki samaat bhi pathra gai hai
is qadar raushni ke basarat bhi dhundla gai
ai KHuda
raushni ke andhere mein ek nur de
nur aisa ki jis se munawwar ho dil
abr-e-rahmat yaqin ka
be-yaqini ke sahra pe saya-fagan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.