be-yaqini ke phul
ḳhāmoshī ke jauhaḌ meñ
khilne vaale phuul
sunsān jañgaloñ kī dahshat
aur halākat-ḳhez āñdhiyoñ ke ḳhauf ke sabab
jalāl-o-jamāl se ḳhālī rah jaate haiñ
mausamoñ ke
garm aur talḳh lams
unheñ shaffāf aur shīrīñ nahīñ rahne dete
shauq aur aarzū kī aag
bechain rakhtī hai unheñ
vo nahīñ jānte ki
shikasta aur pighle hue jazbāt ke samundar kā
chaḌhāv kab ḳhatm hogā
aur utaar kab shurūa hogā
KHamoshi ke jauhaD mein
khilne wale phul
sunsan jangalon ki dahshat
aur halakat-KHez aandhiyon ke KHauf ke sabab
jalal-o-jamal se KHali rah jate hain
mausamon ke
garm aur talKH lams
unhen shaffaf aur shirin nahin rahne dete
shauq aur aarzu ki aag
bechain rakhti hai unhen
wo nahin jaante ki
shikasta aur pighle hue jazbaat ke samundar ka
chaDhaw kab KHatm hoga
aur utar kab shurua hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.