be-yaqini
tumhāre hī qadmoñ kī aahaT huī thī
achānak tumhārī hī ḳhushbū bhī aa.ī
phir maiñ ne dastak bhī dar pe sunī thī
aur apne hāthoñ se kholā thā dar ko
magar phir bhī aisā hī kyoñ lag rahā hai
ki koī hasīñ ḳhvāb dekhā hai maiñ ne
ka.ī chuTkiyāñ lī haiñ apne badan par
yahī dekhne ko ki tum aa ga.e ho
tumhaare hi qadmon ki aahaT hui thi
achanak tumhaari hi KHushbu bhi aai
phir main ne dastak bhi dar pe suni thi
aur apne hathon se khola tha dar ko
magar phir bhi aisa hi kyon lag raha hai
ki koi hasin KHwab dekha hai main ne
kai chuTkiyan li hain apne badan par
yahi dekhne ko ki tum aa gae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.