be-zamini
maiñ ek tesha-ba-dast insāñ
mujhe ḳharāboñ kī justujū hai
mujhe pahāḌoñ kī aarzū hai
maiñ chāhtā huuñ ki is jahāñ ke
tamām dukhḌe ukhāḌ pheñkūñ
maiñ chāhtā huuñ ki aane vaale na.e zamāne kī
saarī rāheñ
harī-bharī hoñ
har ik shajar ik libās pahne
na.ī vaz.a kā
har ek gul par shabāb mahke
na.ī tarah kā
maiñ chāhtā huuñ ki nasl-e-insāñ jo aa rahī hai
qarār bāñTe
sukūn bo.e to pyaar kaaTe
magar mire ahd ke ye insāñ
mire muqābil khaḌe hue haiñ
pahāḌ ban kar
maiñ apnā tesha chalā.ūñ kis par
inhī meñ koī hai merā bhaa.ī
koī chachā hai
maiñ sochtā huuñ
uThā ke teshe ko is zamīñ par
lakīr khīñchūñ musālahat kī
phir apne hisse kī sab zamīñ par
chalā.ūñ tesha
magar ḳhayāloñ meñ baat Thahrī
mirī zamīñ ke tamām hisse
mire hī bachchoñ ne bech khaa.e
main ek tesha-ba-dast insan
mujhe KHarabon ki justuju hai
mujhe pahaDon ki aarzu hai
main chahta hun ki is jahan ke
tamam dukhDe ukhaD phenkun
main chahta hun ki aane wale nae zamane ki
sari rahen
hari-bhari hon
har ek shajar ek libas pahne
nai waza ka
har ek gul par shabab mahke
nai tarah ka
main chahta hun ki nasl-e-insan jo aa rahi hai
qarar banTe
sukun boe to pyar kaTe
magar mere ahd ke ye insan
mere muqabil khaDe hue hain
pahaD ban kar
main apna tesha chalaun kis par
inhi mein koi hai mera bhai
koi chacha hai
main sochta hun
uTha ke teshe ko is zamin par
lakir khinchun musalahat ki
phir apne hisse ki sab zamin par
chalaun tesha
magar KHayalon mein baat Thahri
meri zamin ke tamam hisse
mere hi bachchon ne bech khae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.