bebasi git bunti rahti hai
ḳhvāb garmī kī chuTTiyoñ pe ga.e
ho ga.e band gate ā.ankhoñ ke
ishq ko dāḳhila milā hī nahīñ
ḳhvāhisheñ lockeroñ meñ qaid rahīñ
jo bike us ke daam achchhe hoñ
zindagī ho ki koī titlī ho
be-sabātī ke rañg kachche haiñ
kaun batlā.e un zamīnoñ ko
jañgaloñ ke ghane daraḳhtoñ meñ
gar ḳhizāñ bele-Dance kartī ho
misr ko kaun yaad kartā hai
kam nahīñ lucknow kī umrāo
is se behtar yahāñ pe haiñ fir.aun
kaun sā devtā aur kyā ra.amīs
mirzā-'vājid'-alī bhī kam to nahīñ
kaun girya kare, kare mātam
kaun tārīḳh-e-kisht-o-ḳhūñ ko paḌhe
bebasī giit buntī rahtī hai
donoñ ā.ankhoñ ko Dhāñpe hāthoñ se
KHwab garmi ki chuTTiyon pe gae
ho gae band gate aaankhon ke
ishq ko daKHila mila hi nahin
KHwahishen lockeron mein qaid rahin
jo bike us ke dam achchhe hon
zindagi ho ki koi titli ho
be-sabaati ke rang kachche hain
kaun batlae un zaminon ko
jangalon ke ghane daraKHton mein
gar KHizan bele-Dance karti ho
misr ko kaun yaad karta hai
kam nahin lucknow ki umrao
is se behtar yahan pe hain firaun
kaun sa dewta aur kya ramis
mirza-'wajid'-ali bhi kam to nahin
kaun girya kare, kare matam
kaun tariKH-e-kisht-o-KHun ko paDhe
bebasi git bunti rahti hai
donon aaankhon ko Dhanpe hathon se
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 130)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.