Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bedar hona chahiye

MORE BYSardar Naubahar Singh Sabir Tohani

    nau-javāno ab hameñ bedār honā chāhiye

    desh-sevā ke liye tayyār honā chāhiye

    jo bahādur haiñ unheñ chhatrī hājat nahīñ

    un ke sar pe sāya-e-talvār honā chāhiye

    bistar-e-rāhat se uTh kar ab vatan ke vāste

    har musībat se hameñ do-chār honā chāhiye

    dil meñ soz-e-qaum ho siine meñ dard-e-hurriyat

    aañkh ko bahr-e-vatan ḳhūñ-bār honā chāhiye

    āshnā-e-dard ho pahlū kaleja dāġh-dār

    aur jigar ko tishna-e-āzār honā chāhiye

    muddatoñ se hai gulistān-e-vatan ujḌā huā

    ye hamāre ḳhuuñ se lāla-zār honā chāhiye

    ġhairat-e-qaumī se aa jaa.e hamiyyat josh meñ

    har rag-e-ḳhūñ ek mahshar-zār honā chāhiye

    desh-o-jātī hameñ ġham-ḳhvār honā chāhiye

    mādar-e-bhārat se ham ko pyaar honā chāhiye

    mushta.il ho jaa.e jab siine meñ āzādī aag

    har-nafas ko āh-e-ātish-bār honā chāhiye

    to āzādī se 'sābir' ho hamārā sar buland

    hamāre sar ko zeb-e-dār honā chāhiye

    nau-jawano ab hamein bedar hona chahiye

    desh-sewa ke liye tayyar hona chahiye

    jo bahadur hain unhen chhatri ki hajat hi nahin

    un ke sar pe saya-e-talwar hona chahiye

    bistar-e-rahat se uTh kar ab watan ke waste

    har musibat se hamein do-chaar hona chahiye

    dil mein soz-e-qaum ho sine mein dard-e-hurriyat

    aankh ko bahr-e-watan KHun-bar hona chahiye

    aashna-e-dard ho pahlu kaleja dagh-dar

    aur jigar ko tishna-e-azar hona chahiye

    muddaton se hai gulistan-e-watan ujDa hua

    ye hamare KHun se lala-zar hona chahiye

    ghairat-e-qaumi se aa jae hamiyyat josh mein

    har rag-e-KHun ek mahshar-zar hona chahiye

    desh-o-jati ka hamein gham-KHwar hona chahiye

    madar-e-bhaarat se hum ko pyar hona chahiye

    mushtail ho jae jab sine mein aazadi ki aag

    har-nafas ko aah-e-atish-bar hona chahiye

    ya to aazadi se 'sabir' ho hamara sar buland

    ya hamare sar ko zeb-e-dar hona chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now