bedari
niiñd kamre meñ Tahal rahī hai
raat kī be-shumār āñkheñ mujh par gaḌīñ haiñ
maiñ be-sudh ek kone meñ paḌī huuñ
raat kī gahrī siyāhī mujh par musallat hone lagī hai
merī adh-khulī khiḌkī se aane vaalī
niilī chāñdnī
dil se dīvānoñ kī tarah lipaT rahī hai
aise meñ
ek ġhair mub.ham vahshat mujh par taarī hotī hai
tanhā.ī chīḳh chīḳh kar
māhaul ko mazīd vahshat-zada banā rahī hai
ird-gird kī har shai par
kapkapāhaT taarī hai
ya.anī dard jaarī hai
ye tārīkī ruuh kī bedārī hai
nind kamre mein Tahal rahi hai
raat ki be-shumar aankhen mujh par gaDin hain
main be-sudh ek kone mein paDi hun
raat ki gahri siyahi mujh par musallat hone lagi hai
meri adh-khuli khiDki se aane wali
nili chandni
dil se diwanon ki tarah lipaT rahi hai
aise mein
ek ghair mubham wahshat mujh par tari hoti hai
tanhai chiKH chiKH kar
mahaul ko mazid wahshat-zada bana rahi hai
ird-gird ki har shai par
kapkapahaT tari hai
yani dard jari hai
ye tariki ruh ki bedari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.