bedari
ye sannāTā ye tārīkī kā aalam
koī hamrāz na koī hai hamdam
kahāñ hai rañg kī bū kī vo duniyā
kahāñ haiñ gul kahāñ naġhmoñ kī sargam
ilāhī kyā yahī hai terā barzaḳh
nahīñ nafs o jism jis jā pe bāham
sabr kar tū zarā be-tābī-e-dil
abhī tak hai tabī.at kā ye aalam
abhī taa.ir nafas kā qaid meñ hai
abhī to haiñ hayūlā ke pas-e-vahm
tere sāñsoñ kī gintī bhī hai baaqī
nahīñ aayā abhī rehlat kā mausam
basīrat aur tasavvur auj par hai
dīgar ehsās haiñ ḳhāmosh-o-barham
nahīñ tasvīr-e-hastī sāmne to kyā
taḳhayyul hai terā sābit musallam
banā phir se jahān-e-rañg-o-bū ko
chaman āñkhoñ se ojhal hai to kyā ġham
tirā nazzāra lekin rā.egāñ hai
tū dekhe aur na dekhe koī hamdam
agar imkān ho to naqsh kar tū
tere jazbāt kī halchal talātum
tere afkār ko alfāz meñ Dhaal
banā un se ek tasvīr-e-mujassam
terī taḳhlīq aisī bā-asar ho
nazar aa.e guloñ kā rañg kaliyoñ kā tabassum
atā sauġhāt ho zor-e-qalam kī
duā terī 'anīs' aisī ho har dam
ye sannaTa ye tariki ka aalam
koi hamraaz na koi hai hamdam
kahan hai rang ki bu ki wo duniya
kahan hain gul kahan naghmon ki sargam
ilahi kya yahi hai tera barzaKH
nahin nafs o jism jis ja pe baham
sabr kar tu zara be-tabi-e-dil
abhi tak hai tabiat ka ye aalam
abhi tair nafas ka qaid mein hai
abhi to hain hayula ke pas-e-wahm
tere sanson ki ginti bhi hai baqi
nahin aaya abhi rehlat ka mausam
basirat aur tasawwur auj par hai
digar ehsas hain KHamosh-o-barham
nahin taswir-e-hasti samne to kya
taKHayyul hai tera sabit musallam
bana phir se jahan-e-rang-o-bu ko
chaman aankhon se ojhal hai to kya gham
tera nazzara lekin raegan hai
tu dekhe aur na dekhe koi hamdam
agar imkan ho to naqsh kar tu
tere jazbaat ki halchal talatum
tere afkar ko alfaz mein Dhaal
bana un se ek taswir-e-mujassam
teri taKHliq aisi ba-asar ho
nazar aae gulon ka rang kaliyon ka tabassum
ata saughat ho zor-e-qalam ki
dua teri 'anis' aisi ho har dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.