bedard lamha
bahut be-dard lamha thā
hamāre darmiyāñ aa kar nahīñ pal bhar rukā jānāñ
na ham donoñ se kuchh pūchhā
na us ne kuchh bhī batlāyā
faqat chhū kar hameñ guzrā
lahū meñ sarsarāhaT sī
zabāñ meñ laḌkhaḌāhaT sī
atā karke bhulā baiThā
bahut be-dard lamha thā
bahut hī yaad aatā hai
bahut be-dard lamha tha
hamare darmiyan aa kar nahin pal bhar ruka jaanan
na hum donon se kuchh puchha
na us ne kuchh bhi batlaya
faqat chhu kar hamein guzra
lahu mein sarsarahaT si
zaban mein laDkhaDahaT si
ata karke bhula baiTha
bahut be-dard lamha tha
bahut hi yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.