Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye baaten jhuTi baaten hain

Ibn e Insha

ye baaten jhuTi baaten hain

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    ye bāteñ jhūTī bāteñ haiñ ye logoñ ne phailā.ī haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    haiñ lākhoñ rog zamāne meñ kyuuñ ishq hai rusvā be-chārā

    haiñ aur bhī vaj.heñ vahshat insān ko rakhtīñ dukhiyārā

    haañ be-kal be-kal rahtā hai ho piit meñ jis ne haarā

    par shaam se le kar sub.h talak yuuñ kaun phiregā āvāra

    ye bāteñ jhūTī bāteñ ye logoñ ne phailā.īñ haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    ye baat ajiib sunāte ho vo duniyā se be-ās hue

    ik naam sunā aur ġhash khāyā ik zikr pe aap udaas hue

    vo ilm meñ aflātūn sune vo sher meñ tulsīdās hue

    vo tiis baras ke hote haiñ vo B-A M.A paas hue

    ye bāteñ jhūTī bāteñ haiñ ye logoñ ne phailā.ī haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    gar ishq kiyā hai tab kyā hai kyuuñ shaad nahīñ ābād nahīñ

    jo jaan liye bin Tal na sake ye aisī bhī uftād nahīñ

    ye baat to tum bhī mānoge vo 'qais' nahīñ farhād nahīñ

    kyā hijr daarū mushkil hai kyā vasl ke nusḳhe yaad nahīñ

    ye bāteñ jhūTī bāteñ haiñ ye logoñ ne phailā.ī haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    vo laḌkī achchhī laḌkī hai tum naam na lo ham jaan ga.e

    vo jis ke lambe gesū haiñ pahchān ga.e pahchān ga.e

    haañ saath hamāre 'inshā' bhī is ghar meñ the mehmān ga.e

    par us se to kuchh baat na anjān rahe anjān ga.e

    ye bāteñ jhūTī bāteñ haiñ ye logoñ ne phailā.ī haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    jo ham se kaho ham karte haiñ kyā 'inshā' ko samjhānā hai

    us laḌkī se bhī kah leñge go ab kuchh aur zamānā hai

    chhoḌeñ takmīl kareñ ye ishq hai afsānā hai

    ye kaisā gorakh-dhandā hai ye kaisā tānā-bānā hai

    ye bāteñ kaisī bāteñ haiñ jo logoñ ne phailā.ī haiñ

    tum 'inshā'-jī naam na lo kyā 'inshā'-jī saudā.ī haiñ

    ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    hain lakhon rog zamane mein kyun ishq hai ruswa be-chaara

    hain aur bhi wajhen wahshat ki insan ko rakhtin dukhiyara

    han be-kal be-kal rahta hai ho pit mein jis ne ji haara

    par sham se le kar subh talak yun kaun phirega aawara

    ye baaten jhuTi baaten ye logon ne phailain hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    ye baat ajib sunate ho wo duniya se be-as hue

    ek nam suna aur ghash khaya ek zikr pe aap udas hue

    wo ilm mein aflatun sune wo sher mein tulsidas hue

    wo tis baras ke hote hain wo B-A MA pas hue

    ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    gar ishq kiya hai tab kya hai kyun shad nahin aabaad nahin

    jo jaan liye bin Tal na sake ye aisi bhi uftad nahin

    ye baat to tum bhi manoge wo 'qais' nahin farhad nahin

    kya hijr ka daru mushkil hai kya wasl ke nusKHe yaad nahin

    ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    wo laDki achchhi laDki hai tum nam na lo hum jaan gae

    wo jis ke lambe gesu hain pahchan gae pahchan gae

    han sath hamare 'insha' bhi is ghar mein the mehman gae

    par us se to kuchh baat na ki anjaan rahe anjaan gae

    ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    jo hum se kaho hum karte hain kya 'insha' ko samjhana hai

    us laDki se bhi kah lenge go ab kuchh aur zamana hai

    ya chhoDen ya takmil karen ye ishq hai ya afsana hai

    ye kaisa gorakh-dhanda hai ye kaisa tana-bana hai

    ye baaten kaisi baaten hain jo logon ne phailai hain

    tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now