bekas insan
fōtpath pe ik bekas insāñ
taklīf meñ taḌpā kartā hai
duniyā meñ koī ġham-ḳhvār nahīñ
majbūr hai aaheñ bhartā hai
barsāt ho yā jaaḌā garmī
har mausam ek guzartā hai
ehsās na kapḌoñ kā tan par
bas bhuuk ke maare martā hai
ambār pe kuuḌe ke jā kar
vo peT kā dozaḳh bhartā hai
phir bhī tujh pe jaañ detā hai
phir bhī terā dam bhartā hai
hai vaqf-e-sitam duniyā meñ jo
jaañ tujh pe nichhāvar kartā hai
kuchh bol mire mahbūb ḳhudā
kyoñ us pe jafā.eñ kartā hai
kyā tere ḳhazāne ḳhālī haiñ
yā tū bhī kisī se Dartā hai
jab terā koī qānūn nahīñ
karne de jo insāñ kartā hai
jis vaqt se dekhā hai yārab
us vaqt se ye dil Dartā hai
jo tujh pe mare jo tujh se Dare
tū zulm usī par kartā hai
aa arsh se tū bhī dekh zarā
kyūñkar tirā banda martā hai
'nāshād' kī āñkhoñ se aksar
tūfāñ ashkoñ kā bahtā hai
footpath pe ek bekas insan
taklif mein taDpa karta hai
duniya mein koi gham-KHwar nahin
majbur hai aahen bharta hai
barsat ho ya jaDa garmi
har mausam ek guzarta hai
ehsas na kapDon ka tan par
bas bhuk ke mare marta hai
ambar pe kuDe ke ja kar
wo peT ka dozaKH bharta hai
phir bhi tujh pe jaan deta hai
phir bhi tera dam bharta hai
hai waqf-e-sitam duniya mein jo
jaan tujh pe nichhawar karta hai
kuchh bol mere mahbub KHuda
kyon us pe jafaen karta hai
kya tere KHazane KHali hain
ya tu bhi kisi se Darta hai
jab tera koi qanun nahin
karne de jo insan karta hai
jis waqt se dekha hai yarab
us waqt se ye dil Darta hai
jo tujh pe mare jo tujh se Dare
tu zulm usi par karta hai
aa arsh se tu bhi dekh zara
kyunkar tera banda marta hai
'nashad' ki aankhon se aksar
tufan ashkon ka bahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.