bel
za.afrān aur sarsoñ ke khet
geñde aur sūraj-mukhī kā
gahrā phīkā piilā rang
Dhaltī dhuup
bikhartā sonā
chāñd kī piilī piilī rangat
mom kī tharthar kartī
bhīnī bhīnī sandalī jot
dil ke tāroñ ko
chhū chhū kar
basant bahār sunātī hai
lekin bel
albelī bal khātī iThlātī
jab garm havā ke jhoñkoñ se
murjhā kar
piilī paḌ jaatī hai
to
sho.ale mere
dil ko chhūne lagte haiñ
zafran aur sarson ke khet
gende aur suraj-mukhi ka
gahra phika pila rang
Dhalti dhup
bikharta sona
chand ki pili pili rangat
mom ki tharthar karti
bhini bhini sandali jot
dil ke taron ko
chhu chhu kar
basant bahaar sunati hai
lekin bel
albeli bal khati iThlati
jab garm hawa ke jhonkon se
murjha kar
pili paD jati hai
to
shoale mere
dil ko chhune lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.