bele ke phul
dekhiye aa ke zarā bele ke phūloñ kī bahār
jam ga.e shāḳh pe ye duudh ke qatre kaise
marmarīñ phuul zamurrad ke hasīñ DanThal par
Daal par baiTh ga.e aa ke ye bagule kaise
chāñdnī raat meñ bele ke shagufta ye phuul
aa ga.e kunj meñ jannat ke nazāre kyūñ-kar
in hasīñ phūloñ meñ shabnam ke chamakte motī
sang-e-marmar pe utar aa.e sitāre kyūñkar
kuchh hī gul-barg jo uupar ko uThā.e haiñ sar
kuchh jhukī jaatī haiñ nīche kī taraf pankhuḌiyāñ
vo jamā.e hue haiñ husn-e-surayyā pe nigāh
un kī nazroñ meñ haiñ pātāl kī nāzuk pariyāñ
mujh ko hotā hai gumāñ dast-e-sulaimānī ne
qaaf par sotī huī pariyoñ ke par khol diye
bār-bār aatā hai aisā bhī mire dil meñ ḳhayāl
jaise rizvāñ ne hasīñ ḳhuld ke dar khol diye
jazba-e-ishq bhī maujūd hai in phūloñ meñ
nasha-e-shauq se har vaqt ye lahrāte haiñ
chuum lete haiñ kabhī dast-e-hinā.ī ko ye gul
kabhī mahbūb ke juuḌe se lipaT jaate haiñ
asl meñ zindagī-o-maut ke sāthī haiñ ye phuul
kyoñ na phir ham kareñ jī-bhar ke mohabbat in se
kabhī ban jaate haiñ ma.ashūq ke sehre kī laḌī
kabhī āshiq kī mahak uThtī hai turbat in se
dekhiye aa ke zara bele ke phulon ki bahaar
jam gae shaKH pe ye dudh ke qatre kaise
marmarin phul zamurrad ke hasin DanThal par
Dal par baiTh gae aa ke ye bagule kaise
chandni raat mein bele ke shagufta ye phul
aa gae kunj mein jannat ke nazare kyun-kar
in hasin phulon mein shabnam ke chamakte moti
sang-e-marmar pe utar aae sitare kyunkar
kuchh hi gul-barg jo upar ko uThae hain sar
kuchh jhuki jati hain niche ki taraf pankhuDiyan
wo jamae hue hain husn-e-surayya pe nigah
un ki nazron mein hain patal ki nazuk pariyan
mujh ko hota hai guman dast-e-sulaimani ne
qaf par soti hui pariyon ke par khol diye
bar-bar aata hai aisa bhi mere dil mein KHayal
jaise rizwan ne hasin KHuld ke dar khol diye
jazba-e-ishq bhi maujud hai in phulon mein
nasha-e-shauq se har waqt ye lahraate hain
chum lete hain kabhi dast-e-hinai ko ye gul
kabhi mahbub ke juDe se lipaT jate hain
asl mein zindagi-o-maut ke sathi hain ye phul
kyon na phir hum karen ji-bhar ke mohabbat in se
kabhi ban jate hain mashuq ke sehre ki laDi
kabhi aashiq ki mahak uThti hai turbat in se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.