Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masjid

Akhtarul Iman

masjid

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    duur bargad ghanī chhāñv meñ ḳhāmosh o malūl

    jis jagah raat ke tārīk kafan ke nīche

    maazī o haal gunahgār namāzī tarah

    apne āmāl pe ro lete haiñ chupke chupke

    ek vīrān masjid shikasta kalas

    paas bahtī huī naddī ko takā kartā hai

    aur TuuTī huī dīvār pe chanDol kabhī

    giit phīkā koī chheḌ diyā kartā hai

    gard-ālūd charāġhoñ ko havā ke jhoñke

    roz miTTī na.ī tah meñ dabā jaate haiñ

    aur jaate hue sūraj ke vidā.ī anfās

    raushnī aa ke darīchoñ bujhā jaate haiñ

    hasrat-e-shām-o-sahar baiTh ke gumbad ke qarīb

    in pareshān duāoñ ko sunā kartī hai

    jo tarastī rahīñ rañg-e-asar ḳhātir

    aur TuuTā huā dil thaam liyā kartī hai

    abābīl koī āmad-e-sarmā ke qarīb

    us ko maskan ke liye DhūñD liyā kartī hai

    aur mehrāb-e-shikasta meñ simaT kar pahroñ

    dāstāñ sard mumālik kahā kartī hai

    ek būḌhā gadhā dīvār ke saa.e meñ kabhī

    uuñgh letā hai zarā baiTh ke jaate jaate

    musāfir koī aa jaatā hai vo bhī Dar kar

    ek lamhe ko Thahar jaatā hai aate aate

    farsh jārob-kashī kyā hai samajhtā nahīñ

    kal-adam ho gayā tasbīh ke dānoñ nizām

    taaq meñ sham.a ke aañsū haiñ abhī tak baaqī

    ab musallā hai na mimbar na muazzin na imaam

    aa chuke sāhab-e-aflāk ke paiġhām o salām

    koh o dar ab na suneñge vo sadā-e-jibraīl

    ab kisī kaabe shāyad na paḌegī buniyād

    kho ga.ī dasht-e-farāmoshī meñ āvāz-e-ḳhalīl

    chāñd phīkī hañsī hañs ke guzar jaatā hai

    Daal dete haiñ sitāre dhulī chādar apnī

    is nigār-e-dil-e-yazdāñ ke janāze pe bas ik

    chashm nam kartī hai shabnam yahāñ aksar apnī

    ek mailā akelā fasurda diyā

    roz rāsha-zada hāthoñ se kahā kartā hai

    tum jalāte ho kabhī aa ke bujhāte bhī nahīñ

    ek jaltā hai magar ek bujhā kartā hai

    tez naddī har ik mauj talātum-bar-dosh

    chīḳh uThtī hai vahīñ duur se faanī faanī

    kal bahā lūñgī tujhe toḌ ke sāhil quyūd

    aur phir gumbad o mīnār bhī paanī paanī

    dur bargad ki ghani chhanw mein KHamosh o malul

    jis jagah raat ke tarik kafan ke niche

    mazi o haal gunahgar namazi ki tarah

    apne aamal pe ro lete hain chupke chupke

    ek viran si masjid ka shikasta sa kalas

    pas bahti hui naddi ko taka karta hai

    aur TuTi hui diwar pe chanDol kabhi

    git phika sa koi chheD diya karta hai

    gard-alud charaghon ko hawa ke jhonke

    roz miTTi ki nai tah mein daba jate hain

    aur jate hue suraj ke widai anfas

    raushni aa ke darichon ki bujha jate hain

    hasrat-e-sham-o-sahar baiTh ke gumbad ke qarib

    in pareshan duaon ko suna karti hai

    jo tarasti hi rahin rang-e-asar ki KHatir

    aur TuTa hua dil tham liya karti hai

    ya ababil koi aamad-e-sarma ke qarib

    us ko maskan ke liye DhunD liya karti hai

    aur mehrab-e-shikasta mein simaT kar pahron

    dastan sard mumalik ki kaha karti hai

    ek buDha gadha diwar ke sae mein kabhi

    ungh leta hai zara baiTh ke jate jate

    ya musafir koi aa jata hai wo bhi Dar kar

    ek lamhe ko Thahar jata hai aate aate

    farsh jarob-kashi kya hai samajhta hi nahin

    kal-adam ho gaya tasbih ke danon ka nizam

    taq mein shama ke aansu hain abhi tak baqi

    ab musalla hai na mimbar na muazzin na imam

    aa chuke sahab-e-aflak ke paigham o salam

    koh o dar ab na sunenge wo sada-e-jibrail

    ab kisi kabe ki shayad na paDegi buniyaad

    kho gai dasht-e-faramoshi mein aawaz-e-KHalil

    chand phiki si hansi hans ke guzar jata hai

    Dal dete hain sitare dhuli chadar apni

    is nigar-e-dil-e-yazdan ke janaze pe bas ek

    chashm nam karti hai shabnam yahan aksar apni

    ek maila sa akela sa fasurda sa diya

    roz rasha-zada hathon se kaha karta hai

    tum jalate ho kabhi aa ke bujhate bhi nahin

    ek jalta hai magar ek bujha karta hai

    tez naddi ki har ek mauj talatum-bar-dosh

    chiKH uThti hai wahin dur se fani fani

    kal baha lungi tujhe toD ke sahil ki quyud

    aur phir gumbad o minar bhi pani pani

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Akhtarul Iman

    Akhtarul Iman

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    masjid Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now