yaaden
lo vo chāh-e-shab se niklā pichhle-pahar piilā mahtāb
zehn ne kholī rukte rukte maazī kī pārīna kitāb
yādoñ ke be-ma.anī daftar ḳhvāboñ ke afsurda shahāb
sab ke sab ḳhāmosh zabāñ se kahte haiñ ai ḳhāna-ḳharāb
guzrī baat sadī yā pal ho guzrī baat hai naqsh-bar-āb
ye rūdād hai apne safar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
shahr-e-tamannā ke markaz meñ lagā huā hai melā sā
khel-khilaunoñ kā har-sū hai ik rañgīñ gulzār khilā
vo ik bālak jis ko ghar se ik dirham bhī nahīñ milā
mele kī saj-dhaj meñ kho kar baap kī uñglī chhoḌ gayā
hosh aayā to ḳhud ko tanhā pā ke bahut hairān huā
bhiiḌ meñ raah milī nahīñ ghar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
vo bālak hai aaj bhī hairāñ mela jūñ-kā-tūñ hai lagā
hairāñ hai bāzār meñ chup-chup kyā kyā biktā hai saudā
kahīñ sharāfat kahīñ najābat kahīñ mohabbat kahīñ vafā
āl-aulād kahīñ biktī hai kahīñ buzurg aur kahīñ ḳhudā
ham ne is ahmaq ko āḳhir isī tazabzub meñ chhoḌā
aur nikālī raah mafar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
hoñT tabassum ke aadī haiñ varna ruuh meñ zahr-āgīñ
ghupe hue haiñ itne nashtar jin kī koī ta.adād nahīñ
kitnī baar huī hai ham par tañg ye phailī huī zamīñ
jis par naaz hai ham ko itnā jhukī hai aksar vahī jabīñ
kabhī koī sifla hai aaqā kabhī koī abla farzīñ
bechī laaj bhī apne hunar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī ābād ḳharābe meñ
kaale kos ġham-e-ulfat ke aur maiñ nān-e-shabīna-jū
kabhī chaman-zāroñ meñ uljhā aur kabhī gandum kī bū
nāfa-e-mushk-e-tatārī ban kar liye phirī mujh ko har-sū
yahī hayāt-e-sā.iqa-fitrat banī ta.attul kabhī numū
kabhī kiyā ram ishq se aise jaise koī vahshī aahū
aur kabhī mar-mar ke sahar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
kabhī ġhanīm-e-jaur-o-sitam ke hāthoñ khaa.ī aisī maat
arz-e-alam meñ ḳhvār hue ham bigḌe rahe barsoñ hālāt
aur kabhī jab din niklā to biit ga.e jug huī na raat
har-sū mah-vash saada qātil lutf-o-ināyat kī sauġhāt
shabnam aisī ThanDī nigāheñ phūloñ kī mahkār sī baat
jūñ-tūñ ye manzil bhī sar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
rāh-navard-e-shauq ko rah meñ kaise kaise yaar mile
abr-e-bahārāñ aks-e-nigārāñ ḳhāl-e-ruḳh-e-dil-dār mile
kuchh bilkul miTTī ke mādho kuchh ḳhanjar kī dhaar mile
kuchh mañjdhār meñ kuchh sāhil par kuchh dariyā ke paar mile
ham sab se har haal meñ lekin yūñhī haath pasār mile
sirf un kī ḳhūbī pe nazar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
saarī hai be-rabt kahānī dhuñdle dhuñdle haiñ aurāq
kahāñ haiñ vo sab jin se jab thī pal-bhar kī duurī bhī shaaq
kahīñ koī nāsūr nahīñ go haa.el hai barsoñ kā firāq
kirm-e-farāmoshī ne dekho chaaT liye kitne mīsāq
vo bhī ham ko ro baiThe haiñ chalo huā qarzā be-bāq
khulī to āḳhir baat asar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
ḳhvāb the ik din auj-e-zamīñ se kāhkashāñ ko chhū leñge
kheleñge gul-rañg shafaq se qaus-e-quzah meñ jhūleñge
bād-e-bahārī ban ke chaleñge sarsoñ ban kar phūleñge
ḳhushiyoñ ke rañgīñ jhurmuT meñ rañj-o-mehan sab bhūleñge
dāġh-e-gul-o-ġhuncha ke badle mahkī huī ḳhushbū leñge
milī ḳhalish par zaḳhm-e-jigar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
ḳhvār hue damḌī ke pīchhe aur kabhī jholī-bhar maal
aise chhoḌ ke uTThe jaise chhuā to kar degā kañgāl
syāne ban kar baat bigāḌī Thiik paḌī saada sī chaal
chhānā dasht-e-mohabbat kitnā ābla-pā majnūñ kī misāl
kabhī sikandar kabhī qalandar kabhī bagūla kabhī ḳhayāl
svāñg rachā.e aur guzar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
ziist ḳhudā jaane hai kyā shai bhuuk tajassus ashk farār
phuul se bachche zohra-jabīneñ mard mujassam bāġh-o-bahār
kiyā hai rūh-e-arz ko āḳhir aur ye zahrīle afkār
kis miTTī se ugte haiñ sab jiinā kyuuñ hai ik begār
in bātoñ se qat-e-nazar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī ābād ḳharābe meñ
duur kahīñ vo koyal kuukī raat ke sannāTe meñ duur
kachchī zamīñ par bikhrā hogā mahkā mahkā aam kā bor
bār-e-mashaqqat kam karne ko khaliyānoñ meñ kaam se chuur
kam-sin laḌke gaate hoñge lo dekho vo sub.h kā nuur
chāh-e-shab se phuuT ke niklā maiñ maġhmūm kabhī masrūr
soch rahā huuñ idhar udhar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
niiñd se ab bhī duur haiñ āñkheñ go ki rahīñ shab-bhar be-ḳhvāb
yādoñ ke be-ma.anī daftar ḳhvāboñ ke afsurda shahāb
sab ke sab ḳhāmosh zabāñ se kahte haiñ ai ḳhāna-ḳharāb
guzrī baat sadī yā pal ho guzrī baat hai naqsh-bar-āb
mustaqbil kī soch, uThā ye maazī kī pārīna kitāb
manzil hai ye hosh-o-ḳhabar kī is ābād ḳharābe meñ
dekho ham ne kaise basar kī is ābād ḳharābe meñ
lo wo chah-e-shab se nikla pichhle-pahar pila mahtab
zehn ne kholi rukte rukte mazi ki parina kitab
yaadon ke be-mani daftar KHwabon ke afsurda shahab
sab ke sab KHamosh zaban se kahte hain ai KHana-KHarab
guzri baat sadi ya pal ho guzri baat hai naqsh-bar-ab
ye rudad hai apne safar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
shahr-e-tamanna ke markaz mein laga hua hai mela sa
khel-khilaunon ka har-su hai ek rangin gulzar khila
wo ek baalak jis ko ghar se ek dirham bhi nahin mila
mele ki saj-dhaj mein kho kar bap ki ungli chhoD gaya
hosh aaya to KHud ko tanha pa ke bahut hairan hua
bhiD mein rah mili nahin ghar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
wo baalak hai aaj bhi hairan mela jun-ka-tun hai laga
hairan hai bazar mein chup-chup kya kya bikta hai sauda
kahin sharafat kahin najabat kahin mohabbat kahin wafa
aal-aulad kahin bikti hai kahin buzurg aur kahin KHuda
hum ne is ahmaq ko aaKHir isi tazabzub mein chhoDa
aur nikali rah mafar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
honT tabassum ke aadi hain warna ruh mein zahr-agin
ghupe hue hain itne nashtar jin ki koi tadad nahin
kitni bar hui hai hum par tang ye phaili hui zamin
jis par naz hai hum ko itna jhuki hai aksar wahi jabin
kabhi koi sifla hai aaqa kabhi koi abla farzin
bechi laj bhi apne hunar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki aabaad KHarabe mein
kale kos gham-e-ulfat ke aur main nan-e-shabina-ju
kabhi chaman-zaron mein uljha aur kabhi gandum ki bu
nafa-e-mushk-e-tatari ban kar liye phiri mujh ko har-su
yahi hayat-e-saiqa-fitrat bani tattul kabhi numu
kabhi kiya ram ishq se aise jaise koi wahshi aahu
aur kabhi mar-mar ke sahar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
kabhi ghanim-e-jaur-o-sitam ke hathon khai aisi mat
arz-e-alam mein KHwar hue hum bigDe rahe barson haalat
aur kabhi jab din nikla to bit gae jug hui na raat
har-su mah-wash sada qatil lutf-o-inayat ki saughat
shabnam aisi ThanDi nigahen phulon ki mahkar si baat
jun-tun ye manzil bhi sar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
rah-naward-e-shauq ko rah mein kaise kaise yar mile
abr-e-bahaaran aks-e-nigaran KHal-e-ruKH-e-dil-dar mile
kuchh bilkul miTTi ke madho kuchh KHanjar ki dhaar mile
kuchh manjdhaar mein kuchh sahil par kuchh dariya ke par mile
hum sab se har haal mein lekin yunhi hath pasar mile
sirf un ki KHubi pe nazar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
sari hai be-rabt kahani dhundle dhundle hain auraq
kahan hain wo sab jin se jab thi pal-bhar ki duri bhi shaq
kahin koi nasur nahin go hael hai barson ka firaq
kirm-e-faramoshi ne dekho chaT liye kitne misaq
wo bhi hum ko ro baiThe hain chalo hua qarza be-baq
khuli to aaKHir baat asar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
KHwab the ek din auj-e-zamin se kahkashan ko chhu lenge
khelenge gul-rang shafaq se qaus-e-quzah mein jhulenge
baad-e-bahaari ban ke chalenge sarson ban kar phulenge
KHushiyon ke rangin jhurmuT mein ranj-o-mehan sab bhulenge
dagh-e-gul-o-ghuncha ke badle mahki hui KHushbu lenge
mili KHalish par zaKHm-e-jigar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
KHwar hue damDi ke pichhe aur kabhi jholi-bhar mal
aise chhoD ke uTThe jaise chhua to kar dega kangal
syane ban kar baat bigaDi Thik paDi sada si chaal
chhana dasht-e-mohabbat kitna aabla-pa majnun ki misal
kabhi sikandar kabhi qalandar kabhi bagula kabhi KHayal
swang rachae aur guzar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
zist KHuda jaane hai kya shai bhuk tajassus ashk farar
phul se bachche zohra-jabinen mard mujassam bagh-o-bahaar
kiya hai ruh-e-arz ko aaKHir aur ye zahrile afkar
kis miTTi se ugte hain sab jina kyun hai ek begar
in baaton se qat-e-nazar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki aabaad KHarabe mein
dur kahin wo koyal kuki raat ke sannaTe mein dur
kachchi zamin par bikhra hoga mahka mahka aam ka bor
bar-e-mashaqqat kam karne ko khaliyanon mein kaam se chur
kam-sin laDke gate honge lo dekho wo subh ka nur
chah-e-shab se phuT ke nikla main maghmum kabhi masrur
soch raha hun idhar udhar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
nind se ab bhi dur hain aankhen go ki rahin shab-bhar be-KHwab
yaadon ke be-mani daftar KHwabon ke afsurda shahab
sab ke sab KHamosh zaban se kahte hain ai KHana-KHarab
guzri baat sadi ya pal ho guzri baat hai naqsh-bar-ab
mustaqbil ki soch, uTha ye mazi ki parina kitab
manzil hai ye hosh-o-KHabar ki is aabaad KHarabe mein
dekho hum ne kaise basar ki is aabaad KHarabe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.