bewa aur barsat
chhā.ī huī hai tīrgī us pe ye muñh kī hai jhaḌī
raat kaTegī kis tarah hashr-numā hai har ghaḌī
dekhtī hai sū-e-falak haa.e taras taras ke aañkh
aur mujhe Dubo.egī aaj baras baras ke aañkh
girya-e-be-asar mirā apnā asar dikhā.e kyā
dil kī lagī bujhā.e kyā dil kī lagī bujhā.e kyā
aaj ye abr kī garaj ḳhuub rulā.egī mujhe
lūñgī hazār karvaTeñ niiñd na aa.egī mujhe
siine meñ dil kabāb hai mujh se ho sabr kis tarah
ek balā shabāb hai mujh se ho jabr kis tarah
kauñd rahī haiñ bijliyāñ abr kā zor-shor hai
maiñ huuñ ki be-qarār huuñ tum ho ki ḳhvāb-e-gor hai
maiñ ne sahe haiñ dukh pe dukh umr kaTegī yaas meñ
tab.a ko intishār hai aur ḳhalal havās meñ
zabt kahāñ se lā.ūñ maiñ sard havā ko dekh kar
jaan pe hai banī huī shab kī fazā ko dekh kar
barq kī teġh hai sitam siina figār kyoñ na ho
zaḳhm-e-jigar hare hue yād-e-bahār kyoñ na ho
raat kī baat yaad hai raat kā pyaar yaad hai
nīñd-bharī vo chashm-e-mast us kā ḳhumār yaad hai
hai ye janāza-e-shabāb yā ki mirā palañg hai
aah tumheñ ḳhabar nahīñ jaan se koī tañg hai
kyā hī vo ḳhush-nasīb haiñ raaj hai aur suhāg hai
motiyoñ se bharī hai maañg rañg hai aur raag hai
kyā hī vo ḳhush-nasīb haiñ jin ke liye siñgār hai
aah mirā shabāb-e-husn rañj se ham-kanār hai
kuuk rahī haiñ koyaleñ jhuum rahī haiñ Dāliyāñ
paapī papīhā is taraf bol rahā hai pī kahāñ
pī hai kahāñ batā.ūñ kyā qissa-e-ġham sunā.ūñ kyā
maut bhī rāhbar nahīñ pī kā surāġh pā.ūñ kyā
uf ye kaleje kī dhaḌak haa.e ye āh-o-zāriyāñ
ḳhalq hai mīThī niiñd meñ mujh ko haiñ be-qarāriyāñ
josh hai pā.emāl-e-ġham past haiñ jī ke hausle
rasm-o-rivāj kā asar miT rahā hai valvale
chhai hui hai tirgi us pe ye munh ki hai jhaDi
raat kaTegi kis tarah hashr-numa hai har ghaDi
dekhti hai su-e-falak hae taras taras ke aankh
aur mujhe Duboegi aaj baras baras ke aankh
girya-e-be-asar mera apna asar dikhae kya
dil ki lagi bujhae kya dil ki lagi bujhae kya
aaj ye abr ki garaj KHub rulaegi mujhe
lungi hazar karwaTen nind na aaegi mujhe
sine mein dil kabab hai mujh se ho sabr kis tarah
ek bala shabab hai mujh se ho jabr kis tarah
kaund rahi hain bijliyan abr ka zor-shor hai
main hun ki be-qarar hun tum ho ki KHwab-e-gor hai
main ne sahe hain dukh pe dukh umr kaTegi yas mein
taba ko intishaar hai aur KHalal hawas mein
zabt kahan se laun main sard hawa ko dekh kar
jaan pe hai bani hui shab ki faza ko dekh kar
barq ki tegh hai sitam sina figar kyon na ho
zaKHm-e-jigar hare hue yaad-e-bahaar kyon na ho
raat ki baat yaad hai raat ka pyar yaad hai
nind-bhari wo chashm-e-mast us ka KHumar yaad hai
hai ye janaza-e-shabab ya ki mera palang hai
aah tumhein KHabar nahin jaan se koi tang hai
kya hi wo KHush-nasib hain raj hai aur suhag hai
motiyon se bhari hai mang rang hai aur rag hai
kya hi wo KHush-nasib hain jin ke liye singar hai
aah mera shabab-e-husn ranj se ham-kanar hai
kuk rahi hain koyalen jhum rahi hain Daliyan
papi papiha is taraf bol raha hai pi kahan
pi hai kahan bataun kya qissa-e-gham sunaun kya
maut bhi rahbar nahin pi ka suragh paun kya
uf ye kaleje ki dhaDak hae ye aah-o-zariyan
KHalq hai miThi nind mein mujh ko hain be-qarariyan
josh hai paemal-e-gham past hain ji ke hausle
rasm-o-riwaj ka asar miT raha hai walwale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.