bewa ki fariyaad
Interesting Fact
(Be-Atf-o-Izafat) (1939)
kisī kī yaad dil meñ hai ki jis se jī niDhāl hai
kahūñ agar to kyā kahūñ ajab tarah kā haal hai
na vo zamīñ na vo falak na ab vo kā.enāt hai
vo zindagī hī ab nahīñ na din hai vo na raat hai
vo aarzū hai kaun sī jo aaj pā-ba-gil nahīñ
hai naam dil kā dil magar jo sach kahūñ to dil nahīñ
ghaTā uThī to hai magar papīhā aaj gaay kyā
taḌap mirī miTā.e kyā lagī mirī bujhā.e kyā
vo prem se bhare bachan ki jin se kān-āshnā
vo mast aañkh mad-bharī ki jis se jaan āshnā
vo baat baat par hañsī vo chheḌ pyaar pyaar meñ
qarār ik taḌap meñ vo taḌap vo ik qarār meñ
kabhī udhar se tāknā kabhī udhar se dekhnā
vo mere dil ke shauq ko mirī nazar se dekhnā
ġharaz vo din ki jab mire chaman meñ ik bahār thī
ġharaz vo din ki jab ḳhushī mire liye siñgār thī
ġharaz vo din ki naġhma-zan masarratoñ kā saaz thā
ġharaz vo din ki husn jab mirā nazar-navāz thā
ġharaz vo din ki jab se dil nishān ġham kā duur thā
ġharaz vo din ki aañkh meñ bharā huā surūr thā
ġharaz vo din ki maiñ bhī jab kisī ke dil kā naaz thī
ġharaz vo din niyāz ke ki jab maiñ be-niyāz thī
ġharaz vo din ḳhayāl thā ki ab na jā.eñge kabhī
chale ga.e kuchh is tarah ki phir na ā.eñge kabhī
ġhazab ye hai shabāb meñ mirā suhāg luT gayā
safar meñ thā jo ham-safar usī kā saath chhuT gayā
ye sach hai mujh ġharīb kā koī rafīq ab nahīñ
ye sach hai ġham-nasīb kā koī shafīq ab nahīñ
fuġhāñ meñ ab vo josh hai ki jis kī intihā nahīñ
jigar meñ ab vo dard hai ki jis kī kuchh davā nahīñ
ḳhayāl hai ḳhizāñ meñ bhī mujhe usī bahār kā
ġhazab hai chhoḌtā nahīñ fareb intizār kā
ajal kī ek shakl hai ye dard is balā kā hai
davā karūñ to kyā karūñ ki vaqt ab duā kā hai
mirī tarah na zindagī kisī kī yuuñ ajiib ho
nasīb maut ho agar to zindagī nasīb ho
kisi ki yaad dil mein hai ki jis se ji niDhaal hai
kahun agar to kya kahun ajab tarah ka haal hai
na wo zamin na wo falak na ab wo kaenat hai
wo zindagi hi ab nahin na din hai wo na raat hai
wo aarzu hai kaun si jo aaj pa-ba-gil nahin
hai nam dil ka dil magar jo sach kahun to dil nahin
ghaTa uThi to hai magar papiha aaj gay kya
taDap meri miTae kya lagi meri bujhae kya
wo prem se bhare bachan ki jin se kan-ashna
wo mast aankh mad-bhari ki jis se jaan aashna
wo baat baat par hansi wo chheD pyar pyar mein
qarar ek taDap mein wo taDap wo ek qarar mein
kabhi udhar se takna kabhi udhar se dekhna
wo mere dil ke shauq ko meri nazar se dekhna
gharaz wo din ki jab mere chaman mein ek bahaar thi
gharaz wo din ki jab KHushi mere liye singar thi
gharaz wo din ki naghma-zan masarraton ka saz tha
gharaz wo din ki husn jab mera nazar-nawaz tha
gharaz wo din ki jab se dil nishan gham ka dur tha
gharaz wo din ki aankh mein bhara hua surur tha
gharaz wo din ki main bhi jab kisi ke dil ka naz thi
gharaz wo din niyaz ke ki jab main be-niyaz thi
gharaz wo din KHayal tha ki ab na jaenge kabhi
chale gae kuchh is tarah ki phir na aaenge kabhi
ghazab ye hai shabab mein mera suhag luT gaya
safar mein tha jo ham-safar usi ka sath chhuT gaya
ye sach hai mujh gharib ka koi rafiq ab nahin
ye sach hai gham-nasib ka koi shafiq ab nahin
fughan mein ab wo josh hai ki jis ki intiha nahin
jigar mein ab wo dard hai ki jis ki kuchh dawa nahin
KHayal hai KHizan mein bhi mujhe usi bahaar ka
ghazab hai chhoDta nahin fareb intizar ka
ajal ki ek shakl hai ye dard is bala ka hai
dawa karun to kya karun ki waqt ab dua ka hai
meri tarah na zindagi kisi ki yun ajib ho
nasib maut ho agar to zindagi nasib ho
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 209)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.