ghar meñ thī shādmānī
ik jashn-e-kāmrānī
dekhā jo ye tamāshā
ammī se maiñ ne pūchhā
ammī ye baat kyā hai
kyuuñ jashn ho rahā hai
ammī ye hañs ke bolī
tū to baḌī hai bholī
tujh ko ḳhabar nahīñ hai
bhayyā kī kal hai shādī
aa.egī tere ghar meñ
kal ek shāhzādī
maiñ jāntī nahīñ thī
hotī hai kyā ye shādī
itnā magar patā thā
ye baat hai ḳhushī kī
sunñā thā sirf itnā
masrūr ho ga.ī maiñ
fart-e-ḳhushī se phir to
maġhrūr ho ga.ī maiñ
kahtī saheliyoñ se
bhayyā kī kal hai shādī
aa.egī mere ghar meñ
kal ek shāhzādī
aa.ī jo ghar meñ dulhan
dekhā uThā ke chilman
mujh sī hī ek laḌkī
dulhan banī huī thī
maiñ ne jo naam pūchhā
us ne kahā ki bhābhī
ghar mein thi shadmani
ek jashn-e-kaamrani
dekha jo ye tamasha
ammi se main ne puchha
ammi ye baat kya hai
kyun jashn ho raha hai
ammi ye hans ke boli
tu to baDi hai bholi
tujh ko KHabar nahin hai
bhayya ki kal hai shadi
aaegi tere ghar mein
kal ek shahzadi
main jaanti nahin thi
hoti hai kya ye shadi
itna magar pata tha
ye baat hai KHushi ki
sunna tha sirf itna
masrur ho gai main
fart-e-KHushi se phir to
maghrur ho gai main
kahti saheliyon se
bhayya ki kal hai shadi
aaegi mere ghar mein
kal ek shahzadi
aai jo ghar mein dulhan
dekha uTha ke chilman
mujh si hi ek laDki
dulhan bani hui thi
main ne jo nam puchha
us ne kaha ki bhabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.