bhagalpur-2
ye tirī shakl hai ki chāñd kā raushan chehra
ye sitāre
tirī āñkhoñ se damakte kyuuñ haiñ
ye tirī shoḳh adāoñ sī
sanaktī purvā
jo mire sar se dupaTTe ko girā detī hai
ḳhushk bāloñ ko zarā aur uḌā detī hai
ye tirī yaad ke jugnū haiñ
ki shabnam qatre
jis se be-ḳhvāb nigāhoñ kī
zamīñ giilī hai
koī aahaT na hī dastak ki galī suunī hai
gar mujhe
vaqt ke tevar kā patā jo hotā
ghar kī dahlīz se bāhar nahīñ jaane detī
saare darvāzoñ
darīchoñ ko muqaffal rakhtī
suunī āñkhoñ meñ chhupā letī maiñ
kājal kī tarah
apnī bāñhoñ ke hisāroñ meñ muqayyad rakhtī
mire bachche
jo mujhe kaash ḳhabar ye hotī
ek do pal meñ mirā shahr hai jalne vaalā
ye teri shakl hai ki chand ka raushan chehra
ye sitare
teri aankhon se damakte kyun hain
ye teri shoKH adaon si
sanakti purwa
jo mere sar se dupaTTe ko gira deti hai
KHushk baalon ko zara aur uDa deti hai
ye teri yaad ke jugnu hain
ki shabnam qatre
jis se be-KHwab nigahon ki
zamin gili hai
koi aahaT na hi dastak ki gali suni hai
gar mujhe
waqt ke tewar ka pata jo hota
ghar ki dahliz se bahar nahin jaane deti
sare darwazon
darichon ko muqaffal rakhti
suni aankhon mein chhupa leti main
kajal ki tarah
apni banhon ke hisaron mein muqayyad rakhti
mere bachche
jo mujhe kash KHabar ye hoti
ek do pal mein mera shahr hai jalne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.