bhai bahan
dekho bhayyā maan bhī jaao
merā gharauñdā yuuñ na girāo
mehnat se hai maiñ ne banāyā
apnī guḌiyā ko hai biThāyā
DaañT ammī se khilvā dūñgī
abbā se maiñ piTvā dūñgī
merā gharauñdā Dhāyā tum ne
merā khel miTāyā tum ne
rotī huuñ to hañste ho tum
baḌe hī achchhe lagte ho tum
maiñ bhī geñd tumhārī le kar
pheñkūñgī ab chhat ke uupar
ro.o.ge to ḳhuub hañsūñgī
koī khilaunā tumheñ na dūñgī
achchhā dekho muñh na bisoro
saarī chīzeñ aa ke sameTo
aao gharauñdā phir se banā.eñ
guḌiyā guDDā is meñ biThā.eñ
aao kar deñ ḳhatm laḌā.ī
maiñ huuñ bahan tum mere bhaa.ī
dekho bhayya man bhi jao
mera gharaunda yun na girao
mehnat se hai main ne banaya
apni guDiya ko hai biThaya
DanT ammi se khilwa dungi
abba se main piTwa dungi
mera gharaunda Dhaya tum ne
mera khel miTaya tum ne
roti hun to hanste ho tum
baDe hi achchhe lagte ho tum
main bhi gend tumhaari le kar
phenkungi ab chhat ke upar
rooge to KHub hansungi
koi khilauna tumhein na dungi
achchha dekho munh na bisoro
sari chizen aa ke sameTo
aao gharaunda phir se banaen
guDiya guDDa is mein biThaen
aao kar den KHatm laDai
main hun bahan tum mere bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.